ham raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain
vo gair ki baanhon mein aaraam se sote hain
ham ashk judaai ke girne hi nahin dete
bechain si palkon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai be-dard zamaane mein
sacchaai ki raahon mein kaante sabhi bote hain
andaaz-e-sitam un ka dekhe to koi hasrat
milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain
हम रातों को उठ उठ के जिन के लिए रोते हैं
वो ग़ैर की बाँहों में आराम से सोते हैं
हम अश्क जुदाई के गिरने ही नहीं देते
बेचैन सी पलकों में मोती से पिरोते हैं
होता चला आया है बे-दर्द ज़माने में
सच्चाई की राहों में काँटे सभी बोते हैं
अंदाज़-ए-सितम उन का देखे तो कोई 'हसरत'
मिलने को तो मिलते हैं नश्तर से चुभोते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Jaipuri
our suggestion based on Hasrat Jaipuri
As you were reading Hijr Shayari Shayari