haa'il thi beech mein jo razaai tamaam shab | हाइल थी बीच में जो रज़ाई तमाम शब - Hasrat Mohani

haa'il thi beech mein jo razaai tamaam shab
is gham se hum ko neend na aayi tamaam shab

ki yaas se havas ne ladai tamaam shab
tum ne to khoob raah dikhaai tamaam shab

phir bhi to khatm ho na saki aarzoo ki baat
har chand hum ne un ko sunaai tamaam shab

bebaak milte hi jo hue hum to sharm se
aankh us pari ne phir na milaai tamaam shab

dil khoob jaanta hai ki tum kis khayal se
karte rahe adoo ki buraai tamaam shab

phir shaam hi se kyun vo chale the chhuda ke haath
dukhti rahi jo un ki kalaaee tamaam shab

hasrat se kuch vo aate hi aise hue khafa
phir ho saki na un se safaai tamaam shab

हाइल थी बीच में जो रज़ाई तमाम शब
इस ग़म से हम को नींद न आई तमाम शब

की यास से हवस ने लड़ाई तमाम शब
तुम ने तो ख़ूब राह दिखाई तमाम शब

फिर भी तो ख़त्म हो न सकी आरज़ू की बात
हर चंद हम ने उन को सुनाई तमाम शब

बेबाक मिलते ही जो हुए हम तो शर्म से
आँख उस परी ने फिर न मिलाई तमाम शब

दिल ख़ूब जानता है कि तुम किस ख़याल से
करते रहे अदू की बुराई तमाम शब

फिर शाम ही से क्यूँ वो चले थे छुड़ा के हाथ
दुखती रही जो उन की कलाई तमाम शब

'हसरत' से कुछ वो आते ही ऐसे हुए ख़फ़ा
फिर हो सकी न उन से सफ़ाई तमाम शब

- Hasrat Mohani
0 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari