baat aisi hai aisa tha pehle
dard hone pe rota tha pehle
jaise chahe vo khela karta tha
main kisi ka khilauna tha pehle
tujhpe kitna bharosa karta tha
khud pe kitna bharosa tha pehle
aakhiri raaste pe chalne ko
pair usne uthaya tha pehle
ab to tasveer tak nahin banti
main to paikar banata tha pehle
raushni aayi jab jala koi
sabki aankhon pe parda tha pehle
ginti peeche se ki gayi varna
mera number to pehla tha pehle
बात ऐसी है ऐसा था पहले
दर्द होने पे रोता था पहले
जैसे चाहे वो खेला करता था
मैं किसी का खिलौना था पहले
तुझपे कितना भरोसा करता था
ख़ुद पे कितना भरोसा था पहले
आख़िरी रास्ते पे चलने को
पैर उसने उठाया था पहले
अब तो तस्वीर तक नहीं बनती
मैं तो पैकर बनाता था पहले
रौशनी आई जब जला कोई
सबकी आँखों पे पर्दा था पहले
गिनती पीछे से की गई वरना
मेरा नंबर तो पहला था पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Himanshi babra KATIB
our suggestion based on Himanshi babra KATIB
As you were reading Tasweer Shayari Shayari