ham ghoom chuke basti ban mein | हम घूम चुके बस्ती बन में

  - Ibn E Insha

ham ghoom chuke basti ban mein
ik aas ki faas liye man mein
koi saajan ho koi pyaara ho
koi deepak ho koi taara ho
jab jeevan raat andheri ho

ik baar kaho tum meri ho

jab saawan baadal chhaaye hon
jab fagun phool khilaaye hon
jab chanda roop lutaata ho
jab suraj dhoop nahaata ho
ya shaam ne basti gheri ho

ik baar kaho tum meri ho

haan dil ka daaman faila hai
kyun gori ka dil maila hai
ham kab tak peet ke dhoke mein
tum kab tak door jharoke mein
kab deed se dil ko seeri ho

ik baar kaho tum meri ho

kya jhagda sood khasaare ka
ye kaaj nahin banjaare ka
sab sona roopa le jaaye
sab duniya duniya le jaaye
tum ek mujhe bahuteri ho
ik baar kaho tum meri ho

हम घूम चुके बस्ती बन में
इक आस की फाँस लिए मन में
कोई साजन हो कोई प्यारा हो
कोई दीपक हो, कोई तारा हो
जब जीवन रात अँधेरी हो

इक बार कहो तुम मेरी हो

जब सावन बादल छाए हों
जब फागुन फूल खिलाए हों
जब चंदा रूप लुटाता हो
जब सूरज धूप नहाता हो
या शाम ने बस्ती घेरी हो

इक बार कहो तुम मेरी हो

हाँ दिल का दामन फैला है
क्यूँ गोरी का दिल मैला है
हम कब तक पीत के धोके में
तुम कब तक दूर झरोके में
कब दीद से दिल को सेरी हो

इक बार कहो तुम मेरी हो

क्या झगड़ा सूद ख़सारे का
ये काज नहीं बंजारे का
सब सोना रूपा ले जाए
सब दुनिया, दुनिया ले जाए
तुम एक मुझे बहुतेरी हो
इक बार कहो तुम मेरी हो

  - Ibn E Insha

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari