is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
ik naar pe jaan ko haar gaya mashhoor hai us ka afsaana
us naar mein aisa roop na tha jis roop se din ki dhoop dabey
is shehar mein kya kya gori hai mahtaab-rukhe gulnaar-labe
kuchh baat thi us ki baaton mein kuchh bhed the us ki chitwan mein
wahi bhed ki jot jagaate hain kisi chaahne waale ke man mein
use apna banaane ki dhun mein hua aap hi aap se begaana
is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
na chanchal khel jawaani ke na pyaar ki alhad ghaaten theen
bas raah mein un ka milna tha ya phone pe un ki baatein theen
is ishq pe ham bhi hanste the be-haasil sa be-haasil tha
ik zor bifarte saagar mein na kashti thi na saahil tha
jo baat thi in ke jee mein thi jo bhed tha yaksar an-jaana
is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
ik roz magar barkha-rut mein vo bhaadon thi ya saawan tha
deewaar pe beech samundar ke ye dekhne waalon ne dekha
mastaana haath mein haath diye ye ek kagar par baithe the
yun shaam hui phir raat hui jab sailaani ghar laut gaye
kya raat thi vo jee chahta hai us raat pe likhein afsaana
is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
haan umr ka saath nibhaane ke the ahad bahut paimaan bahut
vo jin pe bharosa karne mein kuchh sood nahin nuksaan bahut
vo naar ye kah kar door hui majboori saajan majboori
ye vehshat se ranjoor hue aur ranjoori si ranjoori
us roz hamein maaloom hua us shakhs ka mushkil samjhaana
is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
go aag se chaati jaltee thi go aankh se dariya bahta tha
har ek se dukh nahin kehta tha chup rehta tha gham sahta tha
naadaan hain vo jo chhedte hain is aalam mein nadaanon ko
us shakhs se ek jawaab mila sab apnon ko begaano'n ko
kuchh aur kaho to sunta hoon is baab mein kuchh mat farmaana
is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
ab aage ka tahqeeq nahin go sunne ko ham sunte the
us naar ki jo jo baatein theen us naar ke jo jo qisse the
ik shaam jo us ko bulvaaya kuchh samjhaaya bechaare ne
us raat ye qissa paak kiya kuchh kha hi liya dukhyaare ne
kya baat hui kis taur hui akhbaar se logon ne jaana
is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
har baat ki khoj to theek nahin tum ham ko kahaani kehne do
us naar ka naam maqaam hai kya is baat pe parda rahne do
ham se bhi to sauda mumkin hai tum se bhi jafaa ho sakti hai
ye apna bayaan ho saka hai ye apni kathaa ho ho sakti hai
vo naar bhi aakhir pachtaai kis kaam ka aisa pachtana
is basti ke ik kooche mein ik insha naam ka deewaana
इस बस्ती के इक कूचे में इक 'इंशा' नाम का दीवाना
इक नार पे जान को हार गया मशहूर है उस का अफ़साना
उस नार में ऐसा रूप न था जिस रूप से दिन की धूप दबे
इस शहर में क्या क्या गोरी है महताब-रुख़े गुलनार-लबे
कुछ बात थी उस की बातों में कुछ भेद थे उस की चितवन में
वही भेद कि जोत जगाते हैं किसी चाहने वाले के मन में
उसे अपना बनाने की धुन में हुआ आप ही आप से बेगाना
इस बस्ती के इक कूचे में इक 'इंशा' नाम का दीवाना
ना चंचल खेल जवानी के ना प्यार की अल्हड़ घातें थीं
बस राह में उन का मिलना था या फ़ोन पे उन की बातें थीं
इस इश्क़ पे हम भी हँसते थे बे-हासिल सा बे-हासिल था
इक ज़ोर बिफरते सागर में ना कश्ती थी ना साहिल था
जो बात थी इन के जी में थी जो भेद था यकसर अन-जाना
इस बस्ती के इक कूचे में इक 'इंशा' नाम का दीवाना
इक रोज़ मगर बरखा-रुत में वो भादों थी या सावन था
दीवार पे बीच समुंदर के ये देखने वालों ने देखा
मस्ताना हाथ में हाथ दिए ये एक कगर पर बैठे थे
यूँ शाम हुई फिर रात हुई जब सैलानी घर लौट गए
क्या रात थी वो जी चाहता है उस रात पे लिक्खें अफ़साना
इस बस्ती के इक कूचे में इक 'इंशा' नाम का दीवाना
हाँ उम्र का साथ निभाने के थे अहद बहुत पैमान बहुत
वो जिन पे भरोसा करने में कुछ सूद नहीं नुक़सान बहुत
वो नार ये कह कर दूर हुई 'मजबूरी साजन मजबूरी'
ये वहशत से रंजूर हुए और रंजूरी सी रंजूरी?
उस रोज़ हमें मालूम हुआ उस शख़्स का मुश्किल समझाना
इस बस्ती के इक कूचे में इक 'इंशा' नाम का दीवाना
गो आग से छाती जलती थी गो आँख से दरिया बहता था
हर एक से दुख नहीं कहता था चुप रहता था ग़म सहता था
नादान हैं वो जो छेड़ते हैं इस आलम में नादानों को
उस शख़्स से एक जवाब मिला सब अपनों को बेगानों को
'कुछ और कहो तो सुनता हूँ इस बाब में कुछ मत फ़रमाना'
इस बस्ती के इक कूचे में इक 'इंशा' नाम का दीवाना
अब आगे का तहक़ीक़ नहीं गो सुनने को हम सुनते थे
उस नार की जो जो बातें थीं उस नार के जो जो क़िस्से थे
इक शाम जो उस को बुलवाया कुछ समझाया बेचारे ने
उस रात ये क़िस्सा पाक किया कुछ खा ही लिया दुखयारे ने
क्या बात हुई किस तौर हुई अख़बार से लोगों ने जाना
इस बस्ती के इक कूचे में इक इंशा नाम का दीवाना
हर बात की खोज तो ठीक नहीं तुम हम को कहानी कहने दो
उस नार का नाम मक़ाम है क्या इस बात पे पर्दा रहने दो
हम से भी तो सौदा मुमकिन है तुम से भी जफ़ा हो सकती है
ये अपना बयाँ हो सकता है ये अपनी कथा हो हो सकती है
वो नार भी आख़िर पछताई किस काम का ऐसा पछताना?
इस बस्ती के इक कूचे में इक 'इंशा' नाम का दीवाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibn E Insha
our suggestion based on Ibn E Insha
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari