ab bhi tauheen-e-ita'at nahin hogi ham se
dil nahin hoga to bai't nahin hogi ham se
roz ik taaza qaseeda nayi tashbeeb ke saath
rizq bar-haq hai ye khidmat nahin hogi ham se
dil ke maabood jabeenon ke khudaai se alag
aise aalam mein ibadat nahin hogi ham se
ujrat-e-ishq wafa hai to ham aise mazdoor
kuchh bhi kar lenge ye mehnat nahin hogi ham se
har nayi nasl ko ik taaza madine ki talash
saahibo ab koi hijrat nahin hogi ham se
sukhan-aaraai ki soorat to nikal sakti hai
par ye chakki ki mashqat nahin hogi ham se
अब भी तौहीन-ए-इताअत नहीं होगी हम से
दिल नहीं होगा तो बैअ'त नहीं होगी हम से
रोज़ इक ताज़ा क़सीदा नई तश्बीब के साथ
रिज़्क़ बर-हक़ है ये ख़िदमत नहीं होगी हम से
दिल के माबूद जबीनों के ख़ुदाई से अलग
ऐसे आलम में इबादत नहीं होगी हम से
उजरत-ए-इश्क़ वफ़ा है तो हम ऐसे मज़दूर
कुछ भी कर लेंगे ये मेहनत नहीं होगी हम से
हर नई नस्ल को इक ताज़ा मदीने की तलाश
साहिबो अब कोई हिजरत नहीं होगी हम से
सुख़न-आराई की सूरत तो निकल सकती है
पर ये चक्की की मशक़्क़त नहीं होगी हम से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Wafa Shayari Shayari