dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki | दुख और तरह के हैं दुआ और तरह की - Iftikhar Arif

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki
aur daaman-e-qaatil ki hawa aur tarah ki

deewaar pe likkhi hui tahreer hai kuch aur
deti hai khabar khalk-e-khuda aur tarah ki

kis daam uthaayenge khareedaar ki is baar
bazaar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki

bas aur koi din ki zara waqt thehar jaaye
seharaaon se aayegi sada aur tarah ki

hum koo-e-malaamat se nikal aaye to hum ko
raas aayi na phir aab-o-hawa aur tarah ki

दुख और तरह के हैं दुआ और तरह की
और दामन-ए-क़ातिल की हवा और तरह की

दीवार पे लिक्खी हुई तहरीर है कुछ और
देती है ख़बर ख़ल्क़-ए-ख़ुदा और तरह की

किस दाम उठाएँगे ख़रीदार कि इस बार
बाज़ार में है जिंस-ए-वफ़ा और तरह की

बस और कोई दिन कि ज़रा वक़्त ठहर जाए
सहराओं से आएगी सदा और तरह की

हम कू-ए-मलामत से निकल आए तो हम को
रास आई न फिर आब-ओ-हवा और तरह की

- Iftikhar Arif
0 Likes

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari