ab ke baar phir
mauj-e-bahaar ne
farsh-e-sabz par
sa'at-e-mahr mein
haar-singhaar se
ham dono ke naam likhe hain
aur dua maangi hai ki ai raaton ko jugnoo dene waale
sookhi hui mitti ko khushboo dene waale
shukr-guzaar aankhon ko aansu dene waale
in dono ka saath na chhoote
aur suna ye hai ki hawaaein
ab ke baar bhi tez bahut hain
shehr-e-visaal se aane waale mausam hijr-angez bahut hain
अब के बार फिर
मौज-ए-बहार ने
फ़र्श-ए-सब्ज़ पर
साअत-ए-महर में
हार-सिंघार से
हम दोनों के नाम लिखे हैं
और दुआ माँगी है कि ''ऐ रातों को जुगनू देने वाले!
सूखी हुई मिट्टी को ख़ुशबू देने वाले!
शुक्र-गुज़ार आँखों को आँसू देने वाले!
इन दोनों का साथ न छूटे''
और सुना ये है कि हवाएँ
अब के बार भी तेज़ बहुत हैं
शहर-ए-विसाल से आने वाले मौसम हिज्र-अंगेज़ बहुत हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Mausam Shayari Shayari