hindola jhoolne waale
zameen se kat ke ooncha jhoolne ki chaah rakhte hain to phir jhoole
magar ye yaad rakhen
zameen se kat ke ooncha jhoolne waale fazaaon mein mualllaq hi rahenge
jhulaane waale ke rahm-o-karam par daayere-dar-daayere gardish karenge
aur zameen par laut kar bhi be-zameeni ke alam sahte rahenge
hindola jhoolne waale
zameen se kat ke ooncha jhoolne ki chaah rakhte hain
to phir jhoole magar ye yaad rakhen
हिण्डोला झूलने वाले
ज़मीं से कट के ऊँचा झूलने की चाह रखते हैं तो फिर झूलें
मगर ये याद रक्खें
ज़मीं से कट के ऊँचा झूलने वाले फ़ज़ाओं में मुअल्लक़ ही रहेंगे
झुलाने वाले के रहम-ओ-करम पर दाएरे-दर-दाएरे गर्दिश करेंगे
और ज़मीं पर लौट कर भी बे-ज़मीनी के अलम सहते रहेंगे
हिण्डोला झूलने वाले
ज़मीं से कट के ऊँचा झूलने की चाह रखते हैं
तो फिर झूलें मगर ये याद रक्खें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading I Miss you Shayari Shayari