lagega ajnabi ab kyun na shehar bhar mujh ko | लगेगा अजनबी अब क्यों न शहर भर मुझ को

  - Iftikhar Naseem

lagega ajnabi ab kyun na shehar bhar mujh ko
bacha gaya hai nazar tu bhi dekh kar mujh ko

main ghoom phir ke usi samt aa nikalta hoon
jakad rahi hai tire ghar ki raahguzaar mujh ko

jhuls raha hai badan zer-e-saaya-e-deewaar
bula raha hai koi dasht-e-be-shajar mujh ko

main sang-dil hoon tujhe bhoolta hi jaata hoon
main hans raha hoon to mil ke udaas kar mujh ko

main dekhta hi rahoonga tujhe kinaare se
tu dhoondhta hi rahega bhanwar bhanwar mujh ko

bani hain tund hawaon ki zard deewarein
uda raha hai magar shola-e-safar mujh ko

bana diya hai nidar ziddi khwahishon ne naseem
khud e'timaad na tha apne aap par mujh ko

लगेगा अजनबी अब क्यों न शहर भर मुझ को
बचा गया है नज़र तू भी देख कर मुझ को

मैं घूम फिर के उसी सम्त आ निकलता हूँ
जकड़ रही है तिरे घर की रहगुज़र मुझ को

झुलस रहा है बदन ज़ेर-ए-साया-ए-दीवार
बुला रहा है कोई दश्त-ए-बे-शजर मुझ को

मैं संग-दिल हूँ तुझे भूलता ही जाता हूँ
मैं हँस रहा हूँ तो मिल के उदास कर मुझ को

मैं देखता ही रहूँगा तुझे किनारे से
तू ढूँढता ही रहेगा भँवर भँवर मुझ को

बनी हैं तुंद हवाओं की ज़र्द दीवारें
उड़ा रहा है मगर शो'ला-ए-सफ़र मुझ को

बना दिया है निडर ज़िद्दी ख़्वाहिशों ने 'नसीम'
ख़ुद ए'तिमाद न था अपने आप पर मुझ को

  - Iftikhar Naseem

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari