koi mila to kisi aur ki kami hui hai | कोई मिला तो किसी और की कमी हुई है

  - Irfan Sattar

koi mila to kisi aur ki kami hui hai
so dil ne be-talbi ikhtiyaar ki hui hai

jahaan se dil ki taraf zindagi utarti thi
nigaah ab bhi usi baam par jamee hui hai

hai intizaar use bhi tumhaari khush-boo ka
hawa gali mein bahut der se ruki hui hai

tum aa gaye ho to ab aaina bhi dekhenge
abhi abhi to nigaahon mein raushni hui hai

hamaara ilm to marhoon-e-lauh-e-dil hai miyaan
kitaab-e-aql to bas taq par dhari hui hai

banaao saaye hararat badan mein jazb karo
ki dhoop sehan mein kab se yoonhi padi hui hai

nahin nahin main bahut khush raha hoon tere baghair
yaqeen kar ki ye haalat abhi abhi hui hai

vo guftugoo jo meri sirf apne-aap se thi
tiri nigaah ko pahunchee to shaayri hui hai

कोई मिला तो किसी और की कमी हुई है
सो दिल ने बे-तलबी इख़्तियार की हुई है

जहाँ से दिल की तरफ़ ज़िंदगी उतरती थी
निगाह अब भी उसी बाम पर जमी हुई है

है इंतिज़ार उसे भी तुम्हारी ख़ुश-बू का
हवा गली में बहुत देर से रुकी हुई है

तुम आ गए हो तो अब आईना भी देखेंगे
अभी अभी तो निगाहों में रौशनी हुई है

हमारा इल्म तो मरहून-ए-लौह-ए-दिल है मियाँ
किताब-ए-अक़्ल तो बस ताक़ पर धरी हुई है

बनाओ साए हरारत बदन में जज़्ब करो
कि धूप सेहन में कब से यूँही पड़ी हुई है

नहीं नहीं मैं बहुत ख़ुश रहा हूँ तेरे बग़ैर
यक़ीन कर कि ये हालत अभी अभी हुई है

वो गुफ़्तुगू जो मिरी सिर्फ़ अपने-आप से थी
तिरी निगाह को पहुँची तो शाइरी हुई है

  - Irfan Sattar

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Irfan Sattar

As you were reading Shayari by Irfan Sattar

Similar Writers

our suggestion based on Irfan Sattar

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari