naya labaada puraani nishaaniyaan na gaeein
faqih-e-shahr ki resha-dawaaniyaan na gaeein
saroon pe taaj na un ke ghulaam gardish mein
magar dimaagh se kyun raajdhaniyaan na gaeein
bahut kasheed kiya paaniyon ko suraj ne
samundron ki magar be-karaniyaan na gaeein
fareb khaane ke baa-wasf bhi kisi lamhe
dil-e-tabah tiri khush-gumaaniyaan na gaeein
tumhaari or se kya mutmain nahin the ham
tumhaari or se kyun bad-gumaaniyaan na gaeein
नया लबादा पुरानी निशानियाँ न गईं
फ़क़ीह-ए-शहर की रेशा-दवानियाँ न गईं
सरों पे ताज न उन के ग़ुलाम गर्दिश में
मगर दिमाग़ से क्यूँ राजधानियाँ न गईं
बहुत कशीद किया पानियों को सूरज ने
समुंदरों की मगर बे-करानियाँ न गईं
फ़रेब खाने के बा-वस्फ़ भी किसी लम्हे
दिल-ए-तबाह तिरी ख़ुश-गुमानियाँ न गईं
तुम्हारी ओर से क्या मुतमइन नहीं थे हम
तुम्हारी ओर से क्यूँ बद-गुमानियाँ न गईं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jahangeer Imran
As you were reading Taj Mahal Shayari Shayari