lab khushk hain agarche pyaasa nahin hoon main
un ki inaayaton ka bhookha nahin hoon main
sargoshiyaan chali hain dil aur dimaagh mein
tanhaaiyaan apni hi hain tanhaa nahin hoon main
ugalgega beej phir se shaakhen uloom ki
zer-e-zameen hoon maana paspa nahin hoon main
madhosh kar diya hai nazaron ne aap ki
duniya samajh rahi thi peeta nahin hoon main
ashkon bhara samandar jis simt dekhiye
zinda to hoon yahaan par jeeta nahin hoon main
sehraa ki wusaaton mein chaahat hai bostaan ki
halki guneedagi hai thehra nahin hoon main
aslam teri duaaein kyun na qubool hon
hoon humkalaam rab se moosa nahin hoon main
लब ख़ुश्क़ हैं अगरचे प्यासा नहीं हूँ मैं
उन की इनायतों का भूखा नहीं हूँ मैं
सरगोशियां चली हैं दिल और दिमाग़ में
तन्हाईयाँ अपनी ही हैं तन्हा नहीं हूँ मैं
उगलेगा बीज फिर से शाख़ें उलूम की
ज़ेर-ए-ज़मीं हूँ माना पसपा नहीं हूँ मैं
मदहोश कर दिया है नज़रों ने आप की
दुनिया समझ रही थी पीता नहीं हूँ मैं
अश्कों भरा समंदर जिस सिम्त देखिए
ज़िंदा तो हूँ यहां पर जीता नहीं हूँ मैं
सेहरा की वुसअतों में चाहत है बोस्तां की
हल्की ग़ुनीदगी है ठेहरा नहीं हूँ मैं
'असलम' तेरी दुआएँ क्यों ना क़ुबूल हों
हूँ हमकलाम रब से मूसा नहीं हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Aslam
our suggestion based on Javed Aslam
As you were reading Lab Shayari Shayari