pyaar wafa ke deep jalaaen
ghar ko apne swarg banaayein
khelen koodein aur muskaayein
dekh ke khush hon jis ko maayein
pehla khushhaali ghar hai hamaara
dars usi se ham sab paaye
jis se milen fal ilm ke ham ko
is mein aise paude lagaayein
pehle maa aur baap se seekhen
phir sab ko aadaab sikhaayein
jo bhi hamaare ghar mein aaye
pyaar se us ko dil mein bithaayein
baat karein ham meethi meethi
lafzon ke ham phool khilaayein
apne hon ya begaane hon
sab ko apna dost banaayein
khush honge maa-baap hamaare
aao ham aise ban jaayen
aur phir is ke aage chal kar
desh-pujaari ham kahlaayein
naam ho raushan jis se ghar ka
aise sundar deep jalaaen
प्यार वफ़ा के दीप जलाएँ
घर को अपने स्वर्ग बनाएँ
खेलें कूदें और मुस्काएँ
देख के ख़ुश हों जिस को माएँ
पहला मकतब घर है हमारा
दर्स उसी से हम सब पाएँ
जिस से मिलें फल इल्म के हम को
इस में ऐसे पौदे लगाएँ
पहले माँ और बाप से सीखें
फिर सब को आदाब सिखाएँ
जो भी हमारे घर में आए
प्यार से उस को दिल में बिठाएँ
बात करें हम मीठी मीठी
लफ़्ज़ों के हम फूल खिलाएँ
अपने हों या बेगाने हों
सब को अपना दोस्त बनाएँ
ख़ुश होंगे माँ-बाप हमारे
आओ हम ऐसे बन जाएँ
और फिर इस के आगे चल कर
देश-पुजारी हम कहलाएँ
नाम हो रौशन जिस से घर का
ऐसे सुंदर दीप जलाएँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jauhar Rahmani
As you were reading Father Shayari Shayari