naye saal ki yun khushi ham manaae
ki roothe huoon ko gale se lagaayein
gaye saal ke saare gham bhool jaayen
naya saal aaya naye gul khilaayein
sitaaron se dharti ka daaman sajaayein
nazaaron ko tasveer-e-jannat banaayein
rahe raaj dharti pe ab shaanti ka
na chaayen kahi jang ki ab ghataaein
mitaana hai ham ko kudoorat dilon se
har ik samt se aayein bas ye sadaaein
humeen paasbaan kal banenge watan ke
karein ahad jo bhi vo kar ke dikhaayein
naya saal ya rab mubarak ho sab ko
naye roz-o-shab sab ko hi raas aayein
naye saal ki yun karein peshwaai
ghamon ko bhula kar faqat muskuraayein
isee gulsitaan ke hain sab phool jauhar
khilen muskuraayein hansein aur hansaayen
नए साल की यूँ ख़ुशी हम मनाएँ
कि रूठे हुओं को गले से लगाएँ
गए साल के सारे ग़म भूल जाएँ
नया साल आया नए गुल खिलाएँ
सितारों से धरती का दामन सजाएँ
नज़ारों को तस्वीर-ए-जन्नत बनाएँ
रहे राज धरती पे अब शांति का
न छाएँ कहीं जंग की अब घटाएँ
मिटाना है हम को कुदूरत दिलों से
हर इक सम्त से आएँ बस ये सदाएँ
हमीं पासबाँ कल बनेंगे वतन के
करें अहद जो भी वो कर के दिखाएँ
नया साल या रब मुबारक हो सब को
नए रोज़-ओ-शब सब को ही रास आएँ
नए साल की यूँ करें पेशवाई
ग़मों को भुला कर फ़क़त मुस्कुराएँ
इसी गुल्सिताँ के हैं सब फूल 'जौहर'
खिलें मुस्कुराएँ हँसें और हँसाएँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jauhar Rahmani
As you were reading Dard Shayari Shayari