umr guzregi imtihaan mein kya | उम्र गुज़रेगी इम्तिहान में क्या - Jaun Elia

umr guzregi imtihaan mein kya
daagh hi denge mujh ko daan mein kya

meri har baat be-asar hi rahi
naqs hai kuch mere bayaan mein kya

mujh ko to koi tokta bhi nahin
yahi hota hai khaandaan mein kya

apni mahroomiyaan chhupaate hain
hum ghareebon ki aan-baan mein kya

khud ko jaana juda zamaane se
aa gaya tha mere gumaan mein kya

shaam hi se dukaan-e-deed hai band
nahin nuksaan tak dukaan mein kya

ai mere subh-o-shaam-e-dil ki shafaq
tu nahaati hai ab bhi baan mein kya

bolte kyun nahin mere haq mein
aable pad gaye zabaan mein kya

khaamoshi kah rahi hai kaan mein kya
aa raha hai mere gumaan mein kya

dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut
khud bhi aata hai apne dhyaan mein kya

vo mile to ye poochna hai mujhe
ab bhi hoon main tiri amaan mein kya

yun jo takta hai aasmaan ko tu
koi rehta hai aasmaan mein kya

hai naseem-e-bahaar gard-aalood
khaak udti hai us makaan mein kya

ye mujhe chain kyun nahin padta
ek hi shakhs tha jahaan mein kya

उम्र गुज़रेगी इम्तिहान में क्या
दाग़ ही देंगे मुझ को दान में क्या

मेरी हर बात बे-असर ही रही
नक़्स है कुछ मिरे बयान में क्या

मुझ को तो कोई टोकता भी नहीं
यही होता है ख़ानदान में क्या

अपनी महरूमियाँ छुपाते हैं
हम ग़रीबों की आन-बान में क्या

ख़ुद को जाना जुदा ज़माने से
आ गया था मिरे गुमान में क्या

शाम ही से दुकान-ए-दीद है बंद
नहीं नुक़सान तक दुकान में क्या

ऐ मिरे सुब्ह-ओ-शाम-ए-दिल की शफ़क़
तू नहाती है अब भी बान में क्या

बोलते क्यूँ नहीं मिरे हक़ में
आबले पड़ गए ज़बान में क्या

ख़ामुशी कह रही है कान में क्या
आ रहा है मिरे गुमान में क्या

दिल कि आते हैं जिस को ध्यान बहुत
ख़ुद भी आता है अपने ध्यान में क्या

वो मिले तो ये पूछना है मुझे
अब भी हूँ मैं तिरी अमान में क्या

यूँ जो तकता है आसमान को तू
कोई रहता है आसमान में क्या

है नसीम-ए-बहार गर्द-आलूद
ख़ाक उड़ती है उस मकान में क्या

ये मुझे चैन क्यूँ नहीं पड़ता
एक ही शख़्स था जहान में क्या

- Jaun Elia
41 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari