main khud bhi sochta hoon ye kya mera haal hai | मैं ख़ुद भी सोचता हूं ये क्या मेरा हाल है

  - Javed Akhtar

main khud bhi sochta hoon ye kya mera haal hai
jis ka jawaab chahiye vo kya sawaal hai

ghar se chala to dil ke siva paas kuchh na tha
kya mujh se kho gaya hai mujhe kya malaal hai

aasoodagi se dal ke sabhi daagh dhul gaye
lekin vo kaise jaaye jo sheeshe mein baal hai

be-dast-o-pa hoon aaj to ilzaam kis ko doon
kal main ne hi buna tha ye mera hi jaal hai

phir koi khwaab dekhoon koi aarzoo karoon
ab ai dil-e-tabah tira kya khayal hai

मैं ख़ुद भी सोचता हूं ये क्या मेरा हाल है
जिस का जवाब चाहिए वो क्या सवाल है

घर से चला तो दिल के सिवा पास कुछ न था
क्या मुझ से खो गया है मुझे क्या मलाल है

आसूदगी से दल के सभी दाग़ धुल गए
लेकिन वो कैसे जाए जो शीशे में बाल है

बे-दस्त-ओ-पा हूं आज तो इल्ज़ाम किस को दूं
कल मैं ने ही बुना था ये मेरा ही जाल है

फिर कोई ख़्वाब देखूं कोई आरज़ू करूं
अब ऐ दिल-ए-तबाह तिरा क्या ख़याल है

  - Javed Akhtar

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari