ajeeb qissa hai
jab ye duniya samajh rahi thi
tum apni duniya mein jee rahi ho
main apni duniya mein jee raha hoon
to ham ne saari nigaahon se door
ek duniya basaai thi
jo ki meri bhi thi
tumhaari bhi thi
jahaan fazaaon mein
dono ke khwaab jaagte the
jahaan hawaon mein
dono ki sargoshiyaan ghuli theen
jahaan ke phoolon mein
dono ki aarzoo ke sab rang
khil rahe the
jahaan pe dono ki juraton ke
hazaar chashme ubal rahe the
na vasvase the na ranj-o-gham the
sukoon ka gahra ik samundar tha
aur ham the
ajeeb qissa hai
saari duniya ne
jab ye jaana
ki ham ne saari nigaahon se door
ek duniya basaai hai to
har ek abroo ne jaise ham par kamaan taani
tamaam peshaaniyon pe ubhri
gham aur gusse ki gahri shikne
kisi ke lehje se talkhi chhalki
kisi ki baaton mein turshi aayi
kisi ne chaaha
ki koi deewaar hi utha de
kisi ne chaaha
hamaari duniya hi vo mita de
magar zamaane ko haarna tha
zamaana haara
ye saari duniya ko maanna hi pada
hamaare khayal ki ek si zameen hai
hamaare khwaabon ka ek jaisa hi aasmaan hai
magar puraani ye dastaan hai
ki ham pe duniya
ab ek arse se meherbaan hai
ajeeb qissa hai
jab ki duniya ne
kab ka tasleem kar liya hai
ham ek duniya ke rahne waale hain
sach to ye hai
tum apni duniya mein jee rahi ho
main apni duniya mein jee raha hoon
अजीब क़िस्सा है
जब ये दुनिया समझ रही थी
तुम अपनी दुनिया में जी रही हो
मैं अपनी दुनिया में जी रहा हूँ
तो हम ने सारी निगाहों से दूर
एक दुनिया बसाई थी
जो कि मेरी भी थी
तुम्हारी भी थी
जहाँ फ़ज़ाओं में
दोनों के ख़्वाब जागते थे
जहाँ हवाओं में
दोनों की सरगोशियाँ घुली थीं
जहाँ के फूलों में
दोनों की आरज़ू के सब रंग
खिल रहे थे
जहाँ पे दोनों की जुरअतों के
हज़ार चश्मे उबल रहे थे
न वसवसे थे न रंज-ओ-ग़म थे
सुकून का गहरा इक समुंदर था
और हम थे
अजीब क़िस्सा है
सारी दुनिया ने
जब ये जाना
कि हम ने सारी निगाहों से दूर
एक दुनिया बसाई है तो
हर एक अबरू ने जैसे हम पर कमान तानी
तमाम पेशानियों पे उभरीं
ग़म और ग़ुस्से की गहरी शिकनें
किसी के लहजे से तल्ख़ी छलकी
किसी की बातों में तुरशी आई
किसी ने चाहा
कि कोई दीवार ही उठा दे
किसी ने चाहा
हमारी दुनिया ही वो मिटा दे
मगर ज़माने को हारना था
ज़माना हारा
ये सारी दुनिया को मानना ही पड़ा
हमारे ख़याल की एक सी ज़मीं है
हमारे ख़्वाबों का एक जैसा ही आसमाँ है
मगर पुरानी ये दास्ताँ है
कि हम पे दुनिया
अब एक अर्से से मेहरबाँ है
अजीब क़िस्सा है
जब कि दुनिया ने
कब का तस्लीम कर लिया है
हम एक दुनिया के रहने वाले हैं
सच तो ये है
तुम अपनी दुनिया में जी रही हो
मैं अपनी दुनिया में जी रहा हूँ!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Samundar Shayari Shayari