ye tasalli hai ki hain naashaad sab | ये तसल्ली है कि हैं नाशाद सब

  - Javed Akhtar

ye tasalli hai ki hain naashaad sab
main akela hi nahin barbaad sab

sab ki khaatir hain yahan sab ajnabi
aur kehne ko hain ghar aabaad sab

bhool ke sab ranjishen sab ek hain
main bataaun sab ko hoga yaad sab

sab ko da'wa-e-wafa sab ko yaqeen
is adaakaari mein hain ustaad sab

shehar ke haakim ka ye farmaan hai
qaid mein kahlaayenge azaad sab

chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho
us ko kab furqat sune fariyaad sab

talkhiyaan kaise na hoon ashaar mein
ham pe jo guzri hamein hai yaad sab

ये तसल्ली है कि हैं नाशाद सब
मैं अकेला ही नहीं बर्बाद सब

सब की ख़ातिर हैं यहाँ सब अजनबी
और कहने को हैं घर आबाद सब

भूल के सब रंजिशें सब एक हैं
मैं बताऊँ सब को होगा याद सब

सब को दा'वा-ए-वफ़ा सब को यक़ीं
इस अदाकारी में हैं उस्ताद सब

शहर के हाकिम का ये फ़रमान है
क़ैद में कहलाएँगे आज़ाद सब

चार लफ़्ज़ों में कहो जो भी कहो
उस को कब फ़ुर्सत सुने फ़रियाद सब

तल्ख़ियाँ कैसे न हूँ अशआ'र में
हम पे जो गुज़री हमें है याद सब

  - Javed Akhtar

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari