aaj maine apna phir sauda kiya
aur phir main door se dekha kiya
zindagi bhar mere kaam aaye usool
ek ik kar ke unhen becha kiya
bandh gai thi dil mein kuchh ummeed si
khair tum ne jo kiya achha kiya
kuchh kami apni wafaon mein bhi thi
tum se kya kahte ki tum ne kya kiya
kya bataaun kaun tha jis ne mujhe
is bhari duniya mein hai tanhaa kiya
आज मैंने अपना फिर सौदा किया
और फिर मैं दूर से देखा किया
ज़िंदगी भर मेरे काम आए उसूल
एक इक कर के उन्हें बेचा किया
बँध गई थी दिल में कुछ उम्मीद सी
ख़ैर तुम ने जो किया अच्छा किया
कुछ कमी अपनी वफ़ाओं में भी थी
तुम से क्या कहते कि तुम ने क्या किया
क्या बताऊँ कौन था जिस ने मुझे
इस भरी दुनिया में है तन्हा किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Life Shayari Shayari