aankh khul gai meri
ho gaya main phir zinda
pet ke andheron se
zehan ke dhundlakon tak
ek saanp ke jaisa
rengta khayal aaya
aaj teesra din hai aaj teesra din hai
ik ajeeb khaamoshi
munjamid hai kamre mein
ek farsh aur ik chat
aur chaar deewarein
mujh se be-taalluq sab
sab mere tamaashaai
saamne ki khidki se
tez dhoop ki kirnen
aa rahi hain bistar par
chubh rahi hain chehre mein
is qadar nukeeli hain
jaise rishte-daaron ke
tanj meri gurbat par
aankh khul gai meri
aaj khokhla hoon main
sirf khol baaki hai
aaj mere bistar mein
leta hai mera dhaancha
apni murda aankhon se
dekhta hai kamre ko
aaj teesra din hai
aaj teesra din hai
dopahar ki garmi mein
be-iraada qadmon se
ik sadak pe chalta hoon
tang si sadak par hain
dono samt dukaanein
khaali khaali aankhon se
har dukaan ka takhta
sirf dekh saka hoon
ab padha nahin jaata
log aate jaate hain
paas se guzarte hain
phir bhi kitne dhundle hain
sab hain jaise be-chehra
shor in dukano ka
raah chalti ik gaali
radio ki aawaazen
door ki sadaaein hain
aa rahi meelon se
jo bhi sun raha hoon main
jo bhi dekhta hoon main
khwaab jaisa lagta hai
hai bhi aur nahin bhi hai
dopahar ki garmi mein
be-iraada qadmon se
ik sadak pe chalta hoon
saamne ke nukkad par
nal dikhaai deta hai
sakht kyun hai ye paani
kyun gale mein fansata hai
mere pet mein jaise
ghoosaa ek lagta hai
aa raha hai chakkar sa
jism par paseena hai
ab sakat nahin baaki
aaj teesra din hai
aaj teesra din hai
har taraf andhera hai
ghaat par akela hoon
seedhiyaan hain patthar ki
seedhiyon pe leta hoon
ab main uth nahin saka
aasmaan ko takta hoon
aasmaan ko thaali mein
chaand ek roti hai
jhuk rahi hain ab palkein
doobta hai ye manzar
hai zameen gardish mein
mere ghar mein choolha tha
roz khaana pakta tha
rotiyaan sunhari hain
garm garm ye khaana
khul nahin rahi aankhen
kya main marne waala hoon
maa ajeeb thi meri
roz apne haathon se
mujh ko vo khilaati thi
kaun sard haathon se
choo raha hai chehre ko
ik nivaala haathi ka
ik nivaala ghode ka
ik nivaala bhaalu ka
maut hai ki be-hoshi
jo bhi ghaneemat hai
maut hai ki be-hoshi
jo bhi hai ghaneemat hai
aaj teesra din tha aaj teesra din tha
आँख खुल गई मेरी
हो गया मैं फिर ज़िंदा
पेट के अंधेरों से
ज़ेहन के धुँदलकों तक
एक साँप के जैसा
रेंगता ख़याल आया
आज तीसरा दिन है...... आज तीसरा दिन है
इक अजीब ख़ामोशी
मुंजमिद है कमरे में
एक फ़र्श और इक छत
और चार दीवारें
मुझ से बे-तअल्लुक़ सब
सब मिरे तमाशाई
सामने की खिड़की से
तेज़ धूप की किरनें
आ रही हैं बिस्तर पर
चुभ रही हैं चेहरे में
इस क़दर नुकीली हैं
जैसे रिश्ते-दारों के
तंज़ मेरी ग़ुर्बत पर
आँख खुल गई मेरी
आज खोखला हूँ मैं
सिर्फ़ ख़ोल बाक़ी है
आज मेरे बिस्तर में
लेटा है मिरा ढाँचा
अपनी मुर्दा आँखों से
देखता है कमरे को
आज तीसरा दिन है
आज तीसरा दिन है
दोपहर की गर्मी में
बे-इरादा क़दमों से
इक सड़क पे चलता हूँ
तंग सी सड़क पर हैं
दोनों सम्त दूकानें
ख़ाली ख़ाली आँखों से
हर दुकान का तख़्ता
सिर्फ़ देख सकता हूँ
अब पढ़ा नहीं जाता
लोग आते जाते हैं
पास से गुज़रते हैं
फिर भी कितने धुँदले हैं
सब हैं जैसे बे-चेहरा
शोर इन दुकानों का
राह चलती इक गाली
रेडियो की आवाज़ें
दूर की सदाएँ हैं
आ रही मीलों से
जो भी सुन रहा हूँ मैं
जो भी देखता हूँ मैं
ख़्वाब जैसा लगता है
है भी और नहीं भी है
दोपहर की गर्मी में
बे-इरादा क़दमों से
इक सड़क पे चलता हूँ
सामने के नुक्कड़ पर
नल दिखाई देता है
सख़्त क्यूँ है ये पानी
क्यूँ गले में फँसता है
मेरे पेट में जैसे
घूँसा एक लगता है
आ रहा है चक्कर सा
जिस्म पर पसीना है
अब सकत नहीं बाक़ी
आज तीसरा दिन है
आज तीसरा दिन है
हर तरफ़ अंधेरा है
घाट पर अकेला हूँ
सीढ़ियाँ हैं पत्थर की
सीढ़ियों पे लेटा हूँ
अब मैं उठ नहीं सकता
आसमाँ को तकता हूँ
आसमाँ को थाली में
चाँद एक रोटी है
झुक रही हैं अब पलकें
डूबता है ये मंज़र
है ज़मीन गर्दिश में
मेरे घर में चूल्हा था
रोज़ खाना पकता था
रोटियाँ सुनहरी हैं
गर्म गर्म ये खाना
खुल नहीं रही आँखें
क्या मैं मरने वाला हूँ
माँ अजीब थी मेरी
रोज़ अपने हाथों से
मुझ को वो खिलाती थी
कौन सर्द हाथों से
छू रहा है चेहरे को
इक निवाला हाथी का
इक निवाला घोड़े का
इक निवाला भालू का
मौत है कि बे-होशी
जो भी ग़नीमत है
मौत है कि बे-होशी
जो भी है ग़नीमत है
आज तीसरा दिन था........ आज तीसरा दिन था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari