"sukh ka husool" | "सुख का हुसूल"

  - Javed Nadeem

"sukh ka husool"

sukh ka husool
aur dukh se najaat
sirf do hi to masale nahin hain zindagi ke
sukh aur dukh ke beech bhi to masale hain

zindagi ko jitna sochoge
utna uljhaaegi
main aaj tak khud ko nahin samajh saka
phir zindagi
dhoop chaanv ka khel hai
jis par suraj ka ikhtiyaar hai
apna nahin

"सुख का हुसूल"

सुख का हुसूल
और दुख से नजात
सिर्फ़ दो ही तो मसअले नहीं हैं ज़िंदगी के
सुख और दुख के बीच भी तो मसअले हैं

ज़िंदगी को जितना सोचोगे
उतना उलझाएगी
मैं आज तक ख़ुद को नहीं समझ सका
फिर ज़िंदगी
धूप छाँव का खेल है
जिस पर सूरज का इख़्तियार है
अपना नहीं

  - Javed Nadeem

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Nadeem

As you were reading Shayari by Javed Nadeem

Similar Writers

our suggestion based on Javed Nadeem

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari