suraj ki tapish paani ko bukharat mein tabdeel karke fazaa mein uda deti
maahol ki buroodat jab shiddat ikhtiyaar kar leti hai to zameen barf ke
bojh tale kasmasaane lagti hai
main tum se ye nahin kahunga
tum ne aisa kyun kiya
tum aisa kyun karte ho
tumhein aisa nahin karna chahiye
zindagi ke haqaaiq se firaar kabhi sukoon nahin de saka
haqeeqi suroor unhen qubool kar lene mein hai
agar tum samajhne waale ho samajh jaaoge
tum
thehra hua paani ho
main tumhein bahaav mein dekhna chahta hoon
tumhaari rawaani badi dilkash hogi
agar tum bah sake
zindagi ke masaail
tumhaari zaat ki sath par uge ped paude hain
ped sath se qad-aavar nazar aate hain
magar
bulandi se chhote
aur khoobsurat bhi
tum apni zaat mein buland ho jaao
zindagi ke masaail chhote ho jaayenge
सूरज की तपिश पानी को बुख़ारात में तब्दील करके फ़ज़ा में उड़ा देती
माहौल की बुरूदत जब शिद्दत इख़्तियार कर लेती है तो ज़मीन बर्फ़ के
बोझ तले कसमसाने लगती है
मैं तुम से ये नहीं कहूँगा
तुम ने ऐसा क्यों किया
तुम ऐसा क्यों करते हो
तुम्हें ऐसा नहीं करना चाहिए
ज़िंदगी के हक़ाएक़ से फ़रार कभी सुकून नहीं दे सकता
हक़ीक़ी सुरूर उन्हें क़ुबूल कर लेने में है
अगर तुम समझने वाले हो समझ जाओगे
तुम
ठहरा हुआ पानी हो
मैं तुम्हें बहाव में देखना चाहता हूँ
तुम्हारी रवानी बड़ी दिलकश होगी
अगर तुम बह सके
ज़िंदगी के मसाइल
तुम्हारी ज़ात की सत्ह पर उगे पेड़ पौदे हैं
पेड़ सत्ह से क़द-आवर नज़र आते हैं
मगर
बुलंदी से छोटे
और ख़ूबसूरत भी
तुम अपनी ज़ात में बुलंद हो जाओ
ज़िंदगी के मसाइल छोटे हो जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Nadeem
our suggestion based on Javed Nadeem
As you were reading Aag Shayari Shayari