waaye taqdeer main gadha na hua | वाए तक़दीर मैं गधा न हुआ

  - Kaif Ahmed Siddiqui

waaye taqdeer main gadha na hua
ham-nava krishna chandra ka na hua
master ki palak jhapakte hi
haaziri de ke main ravana hua
wahi aaya sawaal parche mein
ek din ka bhi jo padha na hua
khel bhi ham sake na jee bhar ke
khelne ka bhi haq ada na hua
muddaton apne master jee se
madarse mein bhi saamna na hua
main vo daada hoon sab ko maar ke bhi
aaj tak qaabil-e-sazaa na hua
kaif maidaan-e-she'r-goi mein
koi ghalib sa doosra na hua

वाए तक़दीर मैं गधा न हुआ
हम-नवा कृष्न चंद्र का न हुआ
मास्टर की पलक झपकते ही
हाज़िरी दे के मैं रवाना हुआ
वही आया सवाल पर्चे में
एक दिन का भी जो पढ़ा न हुआ
खेल भी हम सके न जी भर के
खेलने का भी हक़ अदा न हुआ
मुद्दतों अपने मास्टर जी से
मदरसे में भी सामना न हुआ
मैं वो दादा हूँ सब को मार के भी
आज तक क़ाबिल-ए-सज़ा न हुआ
'कैफ़' मैदान-ए-शे'र-गोई में
कोई 'ग़ालिब' सा दूसरा न हुआ

  - Kaif Ahmed Siddiqui

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ahmed Siddiqui

As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari