ai hama-rang hama-noor hama-soz-o-gudaaz | ऐ हमा-रंग हमा-नूर हमा-सोज़-ओ-गुदाज़

  - Kaifi Azmi

ai hama-rang hama-noor hama-soz-o-gudaaz
bazm-e-mehtaab se aane ki zaroorat kya thi
tu jahaan thi usi jannat mein nikhrta tira roop
is jahannam ko basaane ki zaroorat kya thi

ye khud-o-khaal ye khwaabon se tarasha hua jism
aur dil jis pe khud-o-khaal ki narmi bhi nisaar
khaar hi khaar sharaare hi sharaare hain yahan
aur tham tham ke utha paanv bahaaron ki bahaar

tishnagi zahar bhi pee jaati hai amrit ki tarah
jaane kis jaam pe ruk jaaye nigaah-e-maasoom
doobte dekha hai jin aankhon mein may-khaana bhi
pyaas un aankhon ki bujhe ya na bujhe kya maaloom

hain sabhi husn-parast ahl-e-nazar saahib-e-dil
koi ghar mein koi mehfil mein sajaayega tujhe
tu faqat jism nahin sher bhi hai geet bhi hai
kaun ashkon ki ghani chaanv mein gaayega tujhe

tujh se ik dard ka rishta bhi hai bas pyaar nahin
apne aanchal pe mujhe ashk baha lene de
tu jahaan jaati hai ja rokne waala main kaun
apne raaste mein magar sham'a jala lene de

ऐ हमा-रंग हमा-नूर हमा-सोज़-ओ-गुदाज़
बज़्म-ए-महताब से आने की ज़रूरत क्या थी
तू जहाँ थी उसी जन्नत में निखरता तिरा रूप
इस जहन्नम को बसाने की ज़रूरत क्या थी

ये ख़द-ओ-ख़ाल ये ख़्वाबों से तराशा हुआ जिस्म
और दिल जिस पे ख़द-ओ-ख़ाल की नर्मी भी निसार
ख़ार ही ख़ार शरारे ही शरारे हैं यहाँ
और थम थम के उठा पाँव बहारों की बहार

तिश्नगी ज़हर भी पी जाती है अमृत की तरह
जाने किस जाम पे रुक जाए निगाह-ए-मासूम
डूबते देखा है जिन आँखों में मय-ख़ाना भी
प्यास उन आँखों की बुझे या न बुझे क्या मालूम

हैं सभी हुस्न-परस्त अहल-ए-नज़र साहिब-ए-दिल
कोई घर में कोई महफ़िल में सजाएगा तुझे
तू फ़क़त जिस्म नहीं शेर भी है गीत भी है
कौन अश्कों की घनी छाँव में गाएगा तुझे

तुझ से इक दर्द का रिश्ता भी है बस प्यार नहीं
अपने आँचल पे मुझे अश्क बहा लेने दे
तू जहाँ जाती है जा, रोकने वाला मैं कौन
अपने रस्ते में मगर शम्अ जला लेने दे

  - Kaifi Azmi

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari