ki hai koi haseen khata har khata ke saath | की है कोई हसीन ख़ता हर ख़ता के साथ

  - Kaifi Azmi

ki hai koi haseen khata har khata ke saath
thoda sa pyaar bhi mujhe de do saza ke saath

gar doobna hi apna muqaddar hai to suno
doobenge ham zaroor magar nakhuda ke saath

manzil se vo bhi door tha aur ham bhi door the
ham ne bhi dhool udaai bahut rehnuma ke saath

raqs-e-saba ke jashn mein ham tum bhi naachte
ai kaash tum bhi aa gaye hote saba ke saath

ikkeesveen sadi ki taraf ham chale to hain
fitne bhi jaag utthe hain aawaaz-e-paa ke saath

aisa laga ghareebi ki rekha se hoon buland
poocha kisi ne haal kuchh aisi ada ke saath

की है कोई हसीन ख़ता हर ख़ता के साथ
थोड़ा सा प्यार भी मुझे दे दो सज़ा के साथ

गर डूबना ही अपना मुक़द्दर है तो सुनो
डूबेंगे हम ज़रूर मगर नाख़ुदा के साथ

मंज़िल से वो भी दूर था और हम भी दूर थे
हम ने भी धूल उड़ाई बहुत रहनुमा के साथ

रक़्स-ए-सबा के जश्न में हम तुम भी नाचते
ऐ काश तुम भी आ गए होते सबा के साथ

इक्कीसवीं सदी की तरफ़ हम चले तो हैं
फ़ित्ने भी जाग उट्ठे हैं आवाज़-ए-पा के साथ

ऐसा लगा ग़रीबी की रेखा से हूँ बुलंद
पूछा किसी ने हाल कुछ ऐसी अदा के साथ

  - Kaifi Azmi

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari