ye andheri raat ye saari fazaa soi hui
patti patti manzar-e-khaamoshi mein khoi hui
maujzan hai bahr-e-zulmat teergi ka josh hai
shaam hi se aaj qindeel-e-falak khaamosh hai
chand taare hain bhi to be-noor patharaaye hue
jaise baasi haar mein hon phool kumhlaaye hue
khap gaya hai yun ghatta mein chaandni ka saaf rang
jis tarah maayusiyon mein dab ke rah jaaye umang
umdi hai kaali ghatta duniya dubone ke liye
ya chali hai baal khole raand rone ke liye
jitni hai gunjaan basti utni hi veeraan hai
har gali khaamosh hai har raasta sunsaan hai
ik makaan se bhi makeen ki kuchh khabar milti nahin
chilmanen uthati nahin zanjeer-e-dar hilti nahin
so rahe hain mast-o-be-khud ghar ke kul peer-o-jawaan
ho gai hain band husn-o-ishq mein sargoshiyaan
haan magar ik samt ik goshe mein koi nauhagar
le rahi hai karvaton par karvatein dil thaam kar
dil sambhalta hi nahin hai seena-e-sad-chaak mein
phool sa chehra atta hai bewagi ki khaak mein
ud chali hai rang-e-rukh ban kar hayaat-e-mustaar
ho raha hai qalb-e-murda mein jawaani ka fishaar
hasratein dam todti hain yaas ki aaghosh mein
saikron shikwe machalte hain lab-e-khaamosh mein
umr aamada nahin murda-parasti ke liye
baar hai ye zinda mayyat dosh-e-hasti ke liye
chahti hai laakh qaabu dil pe paati hi nahin
haaye-re zalim jawaani bas mein aati hi nahin
thartharraa kar girti hai jab soone bistar par nazar
le ke ik karvat patak deti hai vo takiya pe sar
jab khanak uthati hain soti ladkiyon ki choodiyaan
aah ban kar uthne lagta hai kaleja se dhuaan
ho gai bewa ki khaatir neend bhi jaise haraam
mukhtasar sa ahad-e-waslat de gaya soz-e-davaam
dopahar ki chaanv daur-e-shaadmaani ho gaya
pyaas bhi bujhne na paai khatm paani ho gaya
le rahi hai karvaton par karvatein ba-iztiraar
aag mein paara hai ya bistar pe jism-e-be-qaraar
pad gai ik aah kar ke ro ke uth baithi kabhi
ungliyon mein le ke zulf-e-kham-b-kham aenthee kabhi
aa ke honton par kabhi mayus aahen tham gaeein
aur kabhi sooni kalaaee par nigaahen jam gaeein
itni duniya mein kahi apni jagah paati nahin
yaas is had ki ki shauhar ki bhi yaad aati nahin
aa rahe hain yaad paiham saas nandon ke sulook
phat raha hai gham se seena uth rahi hai dil mein hook
apni maa behnon ka bhi aankhen churaana yaad hai
aisi duniya mein kisi ka chhod jaana yaad hai
baagbaan to qabr mein hai kaun ab dekhe bahaar
khud usi ko teer us ke karne waale hain shikaar
jab nazar aata nahin deta koi bekas ka saath
zahar ki sheeshi ki jaanib khud-b-khud badhta hai haath
dil tadap kar kah raha hai jald is duniya ko chhod
choodiyaan toriin to phir zanjeer-e-hasti ko bhi tod
dam agar nikla to khoi zindagi mil jaayegi
ye nahin to khair tanhaa qabr hi mil jaayegi
waan tujhe zillat ki nazaron se na dekhega koi
chahe hansna chahe rona phir na rokega koi
waan sab ahl-e-dard hain sab saahib-e-insaaf hain
rahbar aage ja chuka raahen bhi teri saaf hain
dil inheen baaton mein uljha tha ki dam ghabra gaya
haath le kar zahar ki sheeshi labon tak aa gaya
tilmilati aankh jhapkaati jhijhakti haanfati
pee gai kul zahar aakhir thartharati kaanpati
maut ne jhatka diya kul uzv dhīle ho gaye
saans ukhadi nabz doobi hont neele ho gaye
aankh jhapki ashk tapka hichki aayi kho gai
maut ki aaghosh mein ik aah bhar kar so gai
aur kar ik aah sulge hind ki rasmon ka daam
ai jawaana-marg bewa tujh pe kaafi ka salaam
ये अँधेरी रात ये सारी फ़ज़ा सोई हुई
पत्ती पत्ती मंज़र-ए-ख़ामोश में खोई हुई
मौजज़न है बहर-ए-ज़ुल्मत तीरगी का जोश है
शाम ही से आज क़िंदील-ए-फ़लक ख़ामोश है
चंद तारे हैं भी तो बे-नूर पथराए हुए
जैसे बासी हार में हों फूल कुम्हलाए हुए
खप गया है यूँ घटा में चाँदनी का साफ़ रंग
जिस तरह मायूसियों में दब के रह जाए उमंग
उमडी है काली घटा दुनिया डुबोने के लिए
या चली है बाल खोले राँड रोने के लिए
जितनी है गुंजान बस्ती उतनी ही वीरान है
हर गली ख़ामोश है हर रास्ता सुनसान है
इक मकाँ से भी मकीं की कुछ ख़बर मिलती नहीं
चिलमनें उठती नहीं ज़ंजीर-ए-दर हिलती नहीं
सो रहे हैं मस्त-ओ-बे-ख़ुद घर के कुल पीर-ओ-जवाँ
हो गई हैं बंद हुस्न-ओ-इश्क़ में सरगोशियाँ
हाँ मगर इक सम्त इक गोशे में कोई नौहागर
ले रही है करवटों पर करवटें दिल थाम कर
दिल सँभलता ही नहिं है सीना-ए-सद-चाक में
फूल सा चेहरा अटा है बेवगी की ख़ाक में
उड़ चली है रंग-ए-रुख़ बन कर हयात-ए-मुस्तआर
हो रहा है क़ल्ब-ए-मुर्दा में जवानी का फ़िशार
हसरतें दम तोड़ती हैं यास की आग़ोश में
सैकड़ों शिकवे मचलते हैं लब-ए-ख़ामोश में
उम्र आमादा नहीं मुर्दा-परस्ती के लिए
बार है ये ज़िंदा मय्यत दोश-ए-हस्ती के लिए
चाहती है लाख क़ाबू दिल पे पाती ही नहीं
हाए-रे ज़ालिम जवानी बस में आती ही नहीं
थरथर्रा कर गिरती है जब सूने बिस्तर पर नज़र
ले के इक करवट पटक देती है वो तकिया पे सर
जब खनक उठती हैं सोती लड़कियों की चूड़ियाँ
आह बन कर उठने लगता है कलेजा से धुआँ
हो गई बेवा की ख़ातिर नींद भी जैसे हराम
मुख़्तसर सा अहद-ए-वसलत दे गया सोज़-ए-दवाम
दोपहर की छाँव दौर-ए-शादमानी हो गया
प्यास भी बुझने न पाई ख़त्म पानी हो गया
ले रही है करवटों पर करवटें बा-इज़तिरार
आग में पारा है या बिस्तर पे जिस्म-ए-बे-क़रार
पड़ गई इक आह कर के रो के उठ बैठी कभी
उँगलियों में ले के ज़ुल्फ़-ए-ख़म-ब-ख़म एेंठी कभी
आ के होंटों पर कभी मायूस आहें थम गईं
और कभी सूनी कलाई पर निगाहें जम गईं
इतनी दुनिया में कहीं अपनी जगह पाती नहीं
यास इस हद की कि शौहर की भी याद आती नहीं
आ रहे हैं याद पैहम सास ननदों के सुलूक
फट रहा है ग़म से सीना उठ रही है दिल में हूक
अपनी माँ बहनों का भी आँखें चुराना याद है
ऐसी दुनिया में किसी का छोड़ जाना याद है
बाग़बाँ तो क़ब्र में है कौन अब देखे बहार
ख़ुद उसी को तीर उस के करने वाले हैं शिकार
जब नज़र आता नहीं देता कोई बेकस का साथ
ज़हर की शीशी की जानिब ख़ुद-ब-ख़ुद बढ़ता है हाथ
दिल तड़प कर कह रहा है जल्द इस दुनिया को छोड़
चूड़ियाँ तोड़ीं तो फिर ज़ंजीर-ए-हस्ती को भी तोड़
दम अगर निकला तो खोई ज़िंदगी मिल जाएगी
ये नहिं तो ख़ैर तन्हा क़ब्र ही मिल जाएगी
वाँ तुझे ज़िल्लत की नज़रों से न देखेगा कोई
चाहे हँसना चाहे रोना फिर न रोकेगा कोई
वाँ सब अहल-ए-दर्द हैं सब साहब-ए-इंसाफ़ हैं
रहबर आगे जा चुका राहें भी तेरी साफ़ हैं
दिल इन्हीं बातों में उलझा था कि दम घबरा गया
हाथ ले कर ज़हर की शीशी लबों तक आ गया
तिलमिलाती आँख झपकाती झिझकती हाँफती
पी गई कुल ज़हर आख़िर थरथराती काँपती
मौत ने झटका दिया कुल उज़्व ढीले हो गए
साँस उखड़ी, नब्ज़ डूबी, होंट नीले हो गए
आँख झपकी अश्क टपका हिचकी आई खो गई
मौत की आग़ोश में इक आह भर कर सो गई
और कर इक आह सुलगे हिन्द की रस्मों का दाम
ऐ जवाना-मर्ग बेवा तुझ पे 'कैफ़ी' का सलाम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Zulf Shayari Shayari