ab tum aaghosh-e-tasavvur mein bhi aaya na karo | अब तुम आग़ोश-ए-तसव्वुर में भी आया न करो

  - Kaifi Azmi

ab tum aaghosh-e-tasavvur mein bhi aaya na karo
mujh se bikhre hue gesu nahin dekhe jaate
surkh aankhon ki qasam kaanpati palkon ki qasam
thartharaate hue aansu nahin dekhe jaate

ab tum aaghosh-e-tasavvur mein bhi aaya na karo
chhoot jaane do jo daaman-e-wafa chhoot gaya
kyun ye laghzida-khiraami pe pasheemaan-nazari
tum ne toda to nahin rishta-e-dil toot gaya

ab tum aaghosh-e-tasavvur mein bhi aaya na karo
meri aahon se ye rukhsaar na kumhala jaayen
dhundti hogi tumhein ras mein nahaai hui raat
jaao kaliyaan na kahi sej ki murjha jaayen

अब तुम आग़ोश-ए-तसव्वुर में भी आया न करो
मुझ से बिखरे हुए गेसू नहीं देखे जाते
सुर्ख़ आँखों की क़सम काँपती पलकों की क़सम
थरथराते हुए आँसू नहीं देखे जाते

अब तुम आग़ोश-ए-तसव्वुर में भी आया न करो
छूट जाने दो जो दामान-ए-वफ़ा छूट गया
क्यूँ ये लग़्ज़िदा-ख़िरामी पे पशीमाँ-नज़री
तुम ने तोड़ा तो नहीं रिश्ता-ए-दिल टूट गया

अब तुम आग़ोश-ए-तसव्वुर में भी आया न करो
मेरी आहों से ये रुख़्सार न कुम्हला जाएँ
ढूँडती होगी तुम्हें रस में नहाई हुई रात
जाओ कलियाँ न कहीं सेज की मुरझा जाएँ

  - Kaifi Azmi

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari