main ne tanhaa kabhi us ko dekha nahin | मैं ने तन्हा कभी उस को देखा नहीं

  - Kaifi Azmi

main ne tanhaa kabhi us ko dekha nahin
phir bhi jab us ko dekha vo tanhaa mila
jaise sehra mein chashma kahi
ya samundar mein meenaar-e-noor
ya koi fikr-e-auhaam mein
fikr sadiyon akeli akeli rahi
zehan sadiyon akela akela mila

aur akela akela bhatkata raha
har naye har purane zamaane mein vo
be-zabaan teergi mein kabhi
aur kabhi cheekhti dhoop mein
chaandni mein kabhi khwaab ki
us ki taqdeer thi ik musalsal talash
khud ko dhoonda kiya har fasaane mein vo

bojh se apne us ki kamar jhuk gai
qad magar aur kuchh aur badhta raha
khair-o-shar ki koi jang ho
zindagi ka ho koi jihaad
vo hamesha hua sab se pehle shaheed
sab se pehle vo sooli pe chadhta raha

jin taqaazon ne us ko diya tha janam
un ki aaghosh mein phir samaaya na vo
khoon mein ved goonje hue
aur jabeen par farozaan azaan
aur seene pe raksaan saleeb
be-jhijhak sab ke qaabu mein aaya na vo

haath mein us ke kya tha jo deta hamein
sirf ik keel us keel ka ik nishaan
nashsha-e-may koi cheez hai
ik ghadi do ghadi ek raat
aur haasil wahi dard-e-sar
us ne zindaan mein lekin piya tha jo zahar
uth ke seene se baitha na is ka dhuaan

मैं ने तन्हा कभी उस को देखा नहीं
फिर भी जब उस को देखा वो तन्हा मिला
जैसे सहरा में चश्मा कहीं
या समुंदर में मीनार-ए-नूर
या कोई फ़िक्र-ए-औहाम में
फ़िक्र सदियों अकेली अकेली रही
ज़ेहन सदियों अकेला अकेला मिला

और अकेला अकेला भटकता रहा
हर नए हर पुराने ज़माने में वो
बे-ज़बाँ तीरगी में कभी
और कभी चीख़ती धूप में
चाँदनी में कभी ख़्वाब की
उस की तक़दीर थी इक मुसलसल तलाश
ख़ुद को ढूँडा किया हर फ़साने में वो

बोझ से अपने उस की कमर झुक गई
क़द मगर और कुछ और बढ़ता रहा
ख़ैर-ओ-शर की कोई जंग हो
ज़िंदगी का हो कोई जिहाद
वो हमेशा हुआ सब से पहले शहीद
सब से पहले वो सूली पे चढ़ता रहा

जिन तक़ाज़ों ने उस को दिया था जनम
उन की आग़ोश में फिर समाया न वो
ख़ून में वेद गूँजे हुए
और जबीं पर फ़रोज़ाँ अज़ाँ
और सीने पे रक़्साँ सलीब
बे-झिझक सब के क़ाबू में आया न वो

हाथ में उस के क्या था जो देता हमें
सिर्फ़ इक कील उस कील का इक निशाँ
नश्शा-ए-मय कोई चीज़ है
इक घड़ी दो घड़ी एक रात
और हासिल वही दर्द-ए-सर
उस ने ज़िंदाँ में लेकिन पिया था जो ज़हर
उठ के सीने से बैठा न इस का धुआँ

  - Kaifi Azmi

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari