aziz maa meri hansmukh meri bahadur maa
tamaam jauhar-e-fitrat jaga diye tu ne
mohabbat apne chaman se gulon se khaaron se
mohabbaton ke khazaane luta diye tu ne
bana bana ke mitaaye gaye naqoosh-e-amal
tire baghair mukammal na ho saki tasveer
vo khwaab jhaansi ki raani ko jis ne chaunkaaya
tira jihad-e-musalsal usi ki hai ta'beer
use hayaat ka sola singaar kahte hain
tiri jabeen pe hain kuchh silvatein bhi teeka bhi
nazar mein jazb-e-yaqeen dil mein soz-e-aazaadi
dahakta phool bhi hai tu mahakta shola bhi
zara zameen ko mehwar pe ghoom lene de
samaaj tujh se tira soz-o-saaz maangegi
jamaal seekhega khud-e'timadiyaan tujh se
hayaat-e-nau tire dil ka gudaaz maangegi
अज़ीज़ माँ मिरी हँसमुख मिरी बहादुर माँ
तमाम जौहर-ए-फ़ितरत जगा दिए तू ने
मोहब्बत अपने चमन से गुलों से ख़ारों से
मोहब्बतों के ख़ज़ाने लुटा दिए तू ने
बना बना के मिटाए गए नुक़ूश-ए-अमल
तिरे बग़ैर मुकम्मल न हो सकी तस्वीर
वो ख़्वाब झांसी की रानी को जिस ने चौंकाया
तिरा जिहाद-ए-मुसलसल उसी की है ता'बीर
उसे हयात का सोला सिंगार कहते हैं
तिरी जबीं पे हैं कुछ सिलवटें भी टीका भी
नज़र में जज़्ब-ए-यक़ीं दिल में सोज़-ए-आज़ादी
दहकता फूल भी है तू महकता शो'ला भी
ज़रा ज़मीन को मेहवर पे घूम लेने दे
समाज तुझ से तिरा सोज़-ओ-साज़ मांगेगी
जमाल सीखेगा ख़ुद-ए'तिमादियाँ तुझ से
हयात-ए-नौ तिरे दिल का गुदाज़ मांगेगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari