zameen ko tar-b-tar karne kisi din aayega baadal | ज़मीं को तर-ब-तर करने किसी दिन आएगा बादल - "Nadeem khan' Kaavish"

zameen ko tar-b-tar karne kisi din aayega baadal
na jaane kin ghareebon ke gharo ko khayega baadal

sitaare noch laaunga kisi din zid pe aaya to
abhi gardish mein hoon yaaron bahut itaraayega baadal

ye saari machliyaan jab baddua dene lagengi tab
samundar pyaas se tadpega aur mar jaayega baadal

kahi par kam kahi ziyaada ye kaisa faisla tera
sambhal ja waqt hai varna bahut pachhtaayega baadal

munaafiq hai ye raaton ka kisi ko bhi nahin baksha
jawaani zulf aankhen aur kya-kya khayega baadal

humeen hain jo tujhe sar pe chadaakar firte rahte hain
kushaada zarf kar len hum to kya tik paayega baadal

ज़मीं को तर-ब-तर करने किसी दिन आएगा बादल
न जाने किन ग़रीबों के घरों को खाएगा बादल

सितारे नोच लाऊँगा किसी दिन ज़िद पे आया तो
अभी ग़र्दिश में हूँ यारों बहुत इतराएगा बादल

ये सारी मछलियाँ जब बद्दुआ देने लगेंगी तब
समुंदर प्यास से तड़पेगा और मर जाएगा बादल

कहीं पर कम कहीं ज़्यादा ये कैसा फ़ैसला तेरा
सॅंभल जा वक़्त है वरना बहुत पछताएगा बादल

मुनाफ़िक़ है ये रातों का किसी को भी नहीं बख़्शा
जवानी ज़ुल्फ़ आँखें और क्या-क्या खाएगा बादल

हमीं हैं जो तुझे सर पे चढ़ाकर फिरते रहते हैं
कुशादा ज़र्फ़ कर लें हम तो क्या टिक पाएगा बादल

- "Nadeem khan' Kaavish"
7 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Nadeem khan' Kaavish"

As you were reading Shayari by "Nadeem khan' Kaavish"

Similar Writers

our suggestion based on "Nadeem khan' Kaavish"

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari