tashreef shab-e-wa'da jo vo laaye hue hain | तशरीफ़ शब-ए-वा'दा जो वो लाए हुए हैं

  - Kalb-E-Hussain Nadir

tashreef shab-e-wa'da jo vo laaye hue hain
sar kham hai nazar neechi hai sharmaae hue hain

rukh par jo siyah-zulf ko ko bikhraaye hue hain
vo chaudahveen ke chaand hain gehnaaye hue hain

phoolon se siva hai badan-e-paak mein khushboo
kab itr lagaane se vo itraaye hue hain

hammam mein jaane ke liye kya kahiye koi
vo to arq-e-sharm mein nahlaaye hue hain

तशरीफ़ शब-ए-वा'दा जो वो लाए हुए हैं
सर ख़म है नज़र नीची है शरमाए हुए हैं

रुख़ पर जो सियह-ज़ुल्फ़ को को बिखराए हुए हैं
वो चौदहवीं के चाँद हैं गहनाए हुए हैं

फूलों से सिवा है बदन-ए-पाक में ख़ुशबू
कब इत्र लगाने से वो इतराए हुए हैं

हम्माम में जाने के लिए क्या कहिए कोई
वो तो अरक़-ए-शर्म में नहलाए हुए हैं

  - Kalb-E-Hussain Nadir

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kalb-E-Hussain Nadir

As you were reading Shayari by Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Writers

our suggestion based on Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari