hai inheen do naamon se har ek afsaane ka naam | है इन्हीं दो नामों से हर एक अफ़्साने का नाम

  - Kaleem Aajiz

hai inheen do naamon se har ek afsaane ka naam
ek tera naam hai ik tere deewane ka naam

tujh se raushan hai charaagh-e-mahfil-e-daar-o-rasan
mujh se bhi is daur mein zinda hai parwaane ka naam

teri zulf-o-chashm-o-lab ka naam hai meri ghazal
tera andaaz-e-sukhan mere ghazal gaane ka naam

chal usi andaaz se haan chal usi andaaz se
shokhi-e-baad-e-saba hai tere ithlaane ka naam

mauj-e-khushboo-e-ghazal be-rangi-e-roo-e-ghazal
ik tire aane ka hai naam ik tire jaane ka naam

zinda-e-jaaved meri shaay'ri ne kar diya
naam tere gesuon ka aur mere shaane ka naam

phool tode koi patthar ham ko maara jaaye hai
tu ne itna kar diya badnaam deewane ka naam

ham hain aajiz aabroo-e-bazm-e-yaaraan-e-ghazal
ab isee aaine se hai aaina-khaane ka naam

है इन्हीं दो नामों से हर एक अफ़्साने का नाम
एक तेरा नाम है इक तेरे दीवाने का नाम

तुझ से रौशन है चराग़-ए-महफ़िल-ए-दार-ओ-रसन
मुझ से भी इस दौर में ज़िंदा है परवाने का नाम

तेरी ज़ुल्फ़-ओ-चश्म-ओ-लब का नाम है मेरी ग़ज़ल
तेरा अंदाज़-ए-सुख़न मेरे ग़ज़ल गाने का नाम

चल उसी अंदाज़ से हाँ चल उसी अंदाज़ से
शोख़ी-ए-बाद-ए-सबा है तेरे इठलाने का नाम

मौज-ए-ख़ुशबू-ए-ग़ज़ल बे-रंगी-ए-रू-ए-ग़ज़ल
इक तिरे आने का है नाम इक तिरे जाने का नाम

ज़िंदा-ए-जावेद मेरी शाइ'री ने कर दिया
नाम तेरे गेसुओं का और मिरे शाने का नाम

फूल तोड़े कोई पत्थर हम को मारा जाए है
तू ने इतना कर दिया बदनाम दीवाने का नाम

हम हैं 'आजिज़' आबरू-ए-बज़्म-ए-यारान-ए-ग़ज़ल
अब इसी आईने से है आइना-ख़ाने का नाम

  - Kaleem Aajiz

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari