ham ko to khair pahunchana tha jahaan tak pahunchen | हम को तो ख़ैर पहुँचना था जहाँ तक पहुँचे

  - Kaleem Aajiz

ham ko to khair pahunchana tha jahaan tak pahunchen
jo hamein rok rahe the vo kahaan tak pahunchen

fasl-e-gul tak rahe ya daur-e-khizaan tak pahunchen
baat jab nikli hai munh se to jahaan tak pahunchen

mere ashaar mein hai husn-e-maani ki talash
log ab tak na mere dard-e-nihaan tak pahunchen

mujh ko rahne do mere dard ki lazzat mein khamosh
ye vo afsaana nahin hai jo zabaan tak pahunchen

teri zulfon ki ghani chaanv kise milti hai
kis ki taqdeer-e-rasa hai ki wahan tak pahunchen

manzil-e-daar-o-rasan bhi hai rukh-o-zulf ke ba'ad
dekhiye shauq hamein le ke kahaan tak pahunchen

tarjumaan apna banaya hai mujhe rindon ne
kaash awaaz meri peer-e-mugaan tak pahunchen

aap ke mashghala-e-sher-o-suhan se aajiz
kaam to kuchh na hua naam jahaan tak pahunchen

हम को तो ख़ैर पहुँचना था जहाँ तक पहुँचे
जो हमें रोक रहे थे वो कहाँ तक पहुँचे

फ़स्ल-ए-गुल तक रहे या दौर-ए-ख़िज़ाँ तक पहुँचे
बात जब निकली है मुँह से तो जहाँ तक पहुँचे

मेरे अशआ'र में है हुस्न-ए-मआनी की तलाश
लोग अब तक न मिरे दर्द-ए-निहाँ तक पहुँचे

मुझ को रहने दो मिरे दर्द की लज़्ज़त में ख़मोश
ये वो अफ़्साना नहीं है जो ज़बाँ तक पहुँचे

तेरी ज़ुल्फ़ों की घनी छाँव किसे मिलती है
किस की तक़दीर-ए-रसा है कि वहाँ तक पहुँचे

मंज़िल-ए-दार-ओ-रसन भी है रुख़-ओ-ज़ुल्फ़ के बा'द
देखिए शौक़ हमें ले के कहाँ तक पहुँचे

तर्जुमाँ अपना बनाया है मुझे रिंदों ने
काश आवाज़ मिरी पीर-ए-मुग़ाँ तक पहुँचे

आप के मशग़ला-ए-शेर-ओ-सुख़न से 'आजिज़'
काम तो कुछ न हुआ नाम जहाँ तक पहुँचे

  - Kaleem Aajiz

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari