meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunchen | मिरी सुब्ह-ए-ग़म बला से कभी शाम तक न पहुँचे

  - Kaleem Aajiz

meri subh-e-gham bala se kabhi shaam tak na pahunchen
mujhe dar ye hai buraai tire naam tak na pahunchen

mere paas kya vo aate mera dard kya mitaate
mera haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunchen

ho kisi ka mujh pe ehsaan ye nahin pasand mujh ko
tiri subh ki tajalli meri shaam tak na pahunchen

tiri be-rukhi pe zalim mera jee ye chahta hai
ki wafa ka mere lab par kabhi naam tak na pahunchen

main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hoon
vo sada hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunchen

vo sanam bigad ke mujh se mera kya bigaad lega
kabhi raaz khol doon main to salaam tak na pahunchen

mujhe lazzat-e-aseeri ka sabq padha rahe hain
jo nikal ke aashiyaan se kabhi daam tak na pahunchen

unhen meherbaan samajh len mujhe kya garz padi hai
vo karam ka haath hi kya jo awaam tak na pahunchen

hue faiz-e-may-kada se sabhi faizyaab lekin
jo gareeb tishna-lab the wahi jaam tak na pahunchen

jise main ne jagmagaya usi anjuman mein saaqi
mera zikr tak na aaye mera naam tak na pahunchen

tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna
main nahin hoon door itna ki salaam tak na pahunchen

मिरी सुब्ह-ए-ग़म बला से कभी शाम तक न पहुँचे
मुझे डर ये है बुराई तिरे नाम तक न पहुँचे

मिरे पास क्या वो आते मिरा दर्द क्या मिटाते
मिरा हाल देखने को लब-ए-बाम तक न पहुँचे

हो किसी का मुझ पे एहसाँ ये नहीं पसंद मुझ को
तिरी सुब्ह की तजल्ली मिरी शाम तक न पहुँचे

तिरी बे-रुख़ी पे ज़ालिम मिरा जी ये चाहता है
कि वफ़ा का मेरे लब पर कभी नाम तक न पहुँचे

मैं फ़ुग़ान-ए-बे-असर का कभी मो'तरिफ़ नहीं हूँ
वो सदा ही क्या जो उन के दर-ओ-बाम तक न पहुँचे

वो सनम बिगड़ के मुझ से मिरा क्या बिगाड़ लेगा
कभी राज़ खोल दूँ मैं तो सलाम तक न पहुँचे

मुझे लज़्ज़त-ए-असीरी का सबक़ पढ़ा रहे हैं
जो निकल के आशियाँ से कभी दाम तक न पहुँचे

उन्हें मेहरबाँ समझ लें मुझे क्या ग़रज़ पड़ी है
वो करम का हाथ ही क्या जो अवाम तक न पहुँचे

हुए फ़ैज़-ए-मय-कदा से सभी फ़ैज़याब लेकिन
जो ग़रीब तिश्ना-लब थे वही जाम तक न पहुँचे

जिसे मैं ने जगमगाया उसी अंजुमन में साक़ी
मिरा ज़िक्र तक न आए मिरा नाम तक न पहुँचे

तुम्हें याद ही न आऊँ ये है और बात वर्ना
मैं नहीं हूँ दूर इतना कि सलाम तक न पहुँचे

  - Kaleem Aajiz

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari