phir iztiraab-e-shauq mein gham se mafar kahaan
vo husn-e-iltifaat vo husn-e-nazar kahaan
taarikee-e-hayaat se ghabra gaya hai jee
dekhen shab-e-firaq ki phir ho sehar kahaan
tere baghair mehfil-e-dil bhi udaas hai
ai husn-e-na-shanaas tujhe ye khabar kahaan
ab tak samajh raha tha jise teri raahguzaar
tha ik fareb-e-shauq tiri raahguzaar kahaan
arsa hua ki bazm-e-tamannaa ujad chuki
pehli si ab vo raunaq-e-shaam-o-sehar kahaan
jalvo ki taab la na saki dil ki aankh bhi
phir dekhe kis tarah koi taab-e-nazar kahaan
ik chashm-e-lutf ka hai tiri muntazir kaleem
warna jabeen-e-shauq kahaan sang-e-dar kahaan
फिर इज़्तिराब-ए-शौक़ में ग़म से मफ़र कहाँ
वो हुस्न-ए-इल्तिफ़ात वो हुस्न-ए-नज़र कहाँ
तारीकी-ए-हयात से घबरा गया है जी
देखें शब-ए-फ़िराक़ की फिर हो सहर कहाँ
तेरे बग़ैर महफ़िल-ए-दिल भी उदास है
ऐ हुस्न-ए-ना-शनास तुझे ये ख़बर कहाँ
अब तक समझ रहा था जिसे तेरी रहगुज़र
था इक फ़रेब-ए-शौक़ तिरी रहगुज़र कहाँ
अर्सा हुआ कि बज़्म-ए-तमन्ना उजड़ चुकी
पहली सी अब वो रौनक़-ए-शाम-ओ-सहर कहाँ
जल्वों की ताब ला न सकी दिल की आँख भी
फिर देखे किस तरह कोई ताब-ए-नज़र कहाँ
इक चश्म-ए-लुत्फ़ का है तिरी मुंतज़िर 'कलीम'
वर्ना जबीन-ए-शौक़ कहाँ संग-ए-दर कहाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Sahasrami
our suggestion based on Kaleem Sahasrami
As you were reading Dil Shayari Shayari