kisi ki jab se jafaon ka silsila na raha
dil-e-hazeen mein mohabbat ka hausla na raha
dayaar-e-husn mein milti nahin hai jins-e-wafa
dil-e-ghareeb ka ab un se vaasta na raha
hawaa-e-yaas ne sham-e-umeed gul kar di
kisi se ab koi shikwa bhi barmala na raha
meri nazar ka taqaza bhala vo kya samjhen
ki husn-o-ishq mein pehla sa raabta na raha
ujad gaya hai kuchh is tarah ab dayaar-e-wafa
kahi bhi meri tamannaa ka naqsh-e-paa na raha
khudi na ho saki minnat-kash-e-nashaat-e-wafa
hamaara haath kabhi maail-e-dua na raha
kaleem kaun museebat mein kis ka hota hai
dayaar-e-dost mein koi bhi aashna na raha
किसी की जब से जफ़ाओं का सिलसिला न रहा
दिल-ए-हज़ीं में मोहब्बत का हौसला न रहा
दयार-ए-हुस्न में मिलती नहीं है जिंस-ए-वफ़ा
दिल-ए-ग़रीब का अब उन से वास्ता न रहा
हवा-ए-यास ने शम-ए-उमीद गुल कर दी
किसी से अब कोई शिकवा भी बरमला न रहा
मिरी नज़र का तक़ाज़ा भला वो क्या समझें
कि हुस्न-ओ-इश्क़ में पहला सा राब्ता न रहा
उजड़ गया है कुछ इस तरह अब दयार-ए-वफ़ा
कहीं भी मेरी तमन्ना का नक़्श-ए-पा न रहा
ख़ुदी न हो सकी मिन्नत-कश-ए-नशात-ए-वफ़ा
हमारा हाथ कभी माइल-ए-दुआ न रहा
'कलीम' कौन मुसीबत में किस का होता है
दयार-ए-दोस्त में कोई भी आश्ना न रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Sahasrami
our suggestion based on Kaleem Sahasrami
As you were reading Dost Shayari Shayari