na ho jo un ki tabeeyat wafa-shia'ar nahin | न हो जो उन की तबीअत वफ़ा-शिआ'र नहीं

  - Kaleem Sahasrami

na ho jo un ki tabeeyat wafa-shia'ar nahin
hamein to talkhi-e-dauraan bhi naagawaar nahin

ye zarf zarf ki baatein hain is ka kya shikwa
hai shukr aap ki nazaron mein sharmasaar nahin

humeen ne khoon se seencha hai guncha-o-gul ko
bahaar kahte hain jis ko vo ye bahaar nahin

nazar nazar hai fasana nafs nafs shikwa
hujoom-e-yaas mein sharminda-e-bahaar nahin

khizaan-raseeda bahaaron ka zikr kya ho kaleem
hamein to kuchh bhi mohabbat mein saazgaar nahin

न हो जो उन की तबीअत वफ़ा-शिआ'र नहीं
हमें तो तल्ख़ी-ए-दौराँ भी नागवार नहीं

ये ज़र्फ़ ज़र्फ़ की बातें हैं इस का क्या शिकवा
है शुक्र आप की नज़रों में शर्मसार नहीं

हमीं ने ख़ून से सींचा है ग़ुंचा-ओ-गुल को
बहार कहते हैं जिस को वो ये बहार नहीं

नज़र नज़र है फ़साना नफ़स नफ़स शिकवा
हुजूम-ए-यास में शर्मिंदा-ए-बहार नहीं

ख़िज़ाँ-रसीदा बहारों का ज़िक्र क्या हो 'कलीम'
हमें तो कुछ भी मोहब्बत में साज़गार नहीं

  - Kaleem Sahasrami

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Sahasrami

As you were reading Shayari by Kaleem Sahasrami

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Sahasrami

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari