haal-e-dil dar-guzar nahin aata
aata hai yaar par nahin aata
hoon gal-e-ahmar shifa kar kuchh
sher kyun kaargar nahin aata
hoon ab is bheed mein magar koii
ham-nazar kyun nazar nahin aata
hai tu maahi zaheen kehne ko
kuchh tujhe mukhtasar nahin aata
हाल-ए-दिल दर-गुज़र नहीं आता
आता है यार पर नहीं आता
हूँ मरीज़-ए-सुख़न शिफ़ा कर कुछ
शेर क्यूँ कारगर नहीं आता
हूँ अब इस भीड़ में मगर कोई
हम-नज़र क्यूँ नज़र नहीं आता
है तू 'माही' ज़हीन कहने को
कुछ तुझे मुख़्तसर नहीं आता
As you were reading Shayari by Karal 'Maahi'
our suggestion based on Karal 'Maahi'
As you were reading undefined Shayari