zimmedaari
zimmedaari bacche kii sharaaratein kha gai
baap peekar pada raha may-khaane mein
dawaaiyon kii qeematen beemaar maa ko kha gai
na ghar ka pata tha na thikaana tha zindagi ka
na raahat thi na raasta tha koii manzil ka
khilauno se khelne kii umr mein
khilauno ko bechne ka hunar aa gaya
duniya poochhti rahi ek hi sawaal
ek hi jawaab umr bhar deta raha
baaton se pet bharega kya
bina maa baap ke baccha padhega kya
haalaat ko dekh roti dene waalon vo baccha
padhna chahta hai koii haathon mein qalam dega kya
bachpan kaanton pe guzra jawaani mein zameen aayi
phir kisi anaath ko meri aziyat pe dil aaya
phir vo dulhan ban ke mere ghar aayi
chaar deewarein ek chhat to theen is baar magar
maan baap ke saaye kii kami hamesha khalti rahi
sattar farishton ka saaya ho jis pe
aisi aulaad beti kii taur pe
is gareeb ke jhole mein barkat le aayi
mazaak mein hi sahi
pehli martaba jab usne mera naam pukaara
to beti kii awaaz mein mujhe meri maa nazar aayi
"ज़िम्मेदारी"
ज़िम्मेदारी बच्चे की शरारतें खा गई
बाप पीकर पड़ा रहा मय-ख़ाने में
दवाइयों की क़ीमतें बीमार माँ को खा गई
न घर का पता था न ठिकाना था ज़िन्दगी का
न राहत थी न रास्ता था कोई मंज़िल का
खिलौनों से खेलने की उम्र में
खिलौनों को बेचने का हुनर आ गया
दुनिया पूछती रही एक ही सवाल
एक ही जवाब उम्र भर देता रहा
बातों से पेट भरेगा क्या
बिना माँ बाप के बच्चा पढ़ेगा क्या
हालात को देख रोटी देने वालों वो बच्चा
पढ़ना चाहता है कोई हाथों में क़लम देगा क्या
बचपन काँटों पे गुज़रा जवानी में ज़मीं आई
फिर किसी अनाथ को मेरी अज़ीयत पे दिल आया
फिर वो दुल्हन बन के मेरे घर आई
चार दीवारें एक छत तो थीं इस बार मगर
माँं बाप के साए की कमी हमेशा खलती रही
सत्तर फ़रिश्तों का साया हो जिस पे
ऐसी औलाद बेटी की तौर पे
इस ग़रीब के झोले में बरकत ले आई
मज़ाक़ में ही सही
पहली मर्तबा जब उसने मेरा नाम पुकारा
तो बेटी की आवाज़ में मुझे मेरी माँ नज़र आई
As you were reading Shayari by Kartik Bhalerao
our suggestion based on Kartik Bhalerao
As you were reading undefined Shayari