gham aur khushi ki dosti hoti hai kya | ग़म और ख़ुशी की दोस्ती होती है क्या - Priya omar

gham aur khushi ki dosti hoti hai kya
phir khoobsurat zindagi hoti hai kya

har dard par palkein namiin se bheegtin
aankhon mein ashqon ki nadi hoti hai kya

dete nahin tum kyun sawaalon ke jawaab
itni zaroori khaamoshi hoti hai kya

kyun deed kar aankhen meri pyaasi raheen
ulfat mein aisi tishnagi hoti hai kya

jo kar bhala to ho bhala kahte sabhi
yah baat ab bhi keemati hoti hai kya

bhaage hue bete ka karte intizaar
par beti ki ghar waapsi hoti hai kya

is muflisi mein khaane milti rotiyaan
koi khushi isse badi hoti hai kya

barbaad-e-dil ka falsafa sab yaa likhen
bikhre bina bhi shaayri hoti hai kya

ग़म और ख़ुशी की दोस्ती होती है क्या
फिर ख़ूबसूरत ज़िन्दगी होती है क्या

हर दर्द पर पलकें नमीं से भीगतीं
आँखों में अश्क़ों की नदी होती है क्या

देते नहीं तुम क्यों सवालों के जवाब
इतनी ज़रूरी ख़ामुशी होती है क्या

क्यों दीद कर आँखें मेरी प्यासी रहीं
उल्फ़त में ऐसी तिश्नगी होती है क्या

जो कर भला तो हो भला कहते सभी
यह बात अब भी कीमती होती है क्या

भागे हुए बेटे का करते इंतिज़ार
पर बेटी की घर वापसी होती है क्या

इस मुफ़लिसी में खाने मिलती रोटियाँ
कोई ख़ुशी इससे बड़ी होती है क्या

बर्बाद-ए-दिल का फ़लसफ़ा सब याँ लिखें
बिखरे बिना भी शाइरी होती है क्या

- Priya omar
5 Likes

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priya omar

As you were reading Shayari by Priya omar

Similar Writers

our suggestion based on Priya omar

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari