meri khushiyon ko bhi koi aashiyana chahiye
zindagi se ab gamon ko door jaana chahiye
kar gai mayus mujhko aaj phir masrufiyat
dil ne chaaha tha sukoon se baith jaana chahiye
dard ko bhi dard ho aisa karo kuchh tum kabhi
gar mile to aur jamkar muskurana chahiye
kar sulh to ek ho jaayen hamaare raaste
tere dil mein bhi ye armaan kasmasaana chahiye
chand misron ki bayaani to nahin hai ye ghazal
is hunar ke vaaste to ik zamaana chahiye
lafz bankar main rahoongi saath tere hi sada
geet koi baad mere gungunaana chahiye
sarfiri si fitratein dekheen priya maine yahan
rishte thoda faaslon se bhi nibhaana chahiye
मेरी ख़ुशियों को भी कोई आशियाना चाहिए
ज़िन्दगी से अब ग़मों को दूर जाना चाहिए
कर गई मायूस मुझको आज फिर मसरूफ़ियत
दिल ने चाहा था सुकूँ से बैठ जाना चाहिए
दर्द को भी दर्द हो ऐसा करो कुछ तुम कभी
गर मिले तो और जमकर मुस्कुराना चाहिए
कर सुलह तो एक हो जाएँ हमारे रास्ते
तेरे दिल में भी ये अरमाँ कसमसाना चाहिए
चंद मिसरों की बयानी तो नहीं है ये ग़ज़ल
इस हुनर के वास्ते तो इक ज़माना चाहिए
लफ़्ज़ बनकर मैं रहूँगी साथ तेरे ही सदा
गीत कोई बाद मेरे गुनगुनाना चाहिए
सरफ़िरी सी फ़ितरतें देखीं 'प्रिया' मैंने यहाँ
रिश्ते थोड़ा फ़ासलों से भी निभाना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Life Shayari Shayari