ab paak yahan koi kirdaar nahin hota | अब पाक यहाँ कोई किरदार नहीं होता

  - Priya omar

ab paak yahan koi kirdaar nahin hota
dikhta hai bhale lekin vo pyaar nahin hota

kab ishq ke deewane nuksaan nafa dekhe
jo soch ke ho jaaye vo pyaar nahin hota

jhuk jaati ana thodi phir toot nahin sakte
naata koi bhi itna laachaar nahin hota

masroof hua har din ab chain sukoon chaahat
itwaar. bhi pehle sa itwaar. nahin hota

aate hain vo akshar chat pe chaand ki khwaahish mein
yun jaagna apna bhi bekar nahin hota

patthar hai khuda kahte mujhse ye jahaan waale
jab uske karam se ghar gulzaar nahin hota

ho jaanna mujhko to dil pe mere do dastak
har baar mera chehra akhbaar nahin hota

अब पाक यहाँ कोई किरदार नहीं होता
दिखता है भले लेकिन वो प्यार नहीं होता

कब इश्क़ के दीवाने नुकसान नफ़ा देखे
जो सोच के हो जाए वो प्यार नहीं होता

झुक जाती अना थोड़ी फिर टूट नहीं सकते
नाता कोई भी इतना लाचार नहीं होता

मसरूफ़ हुआ हर दिन अब चैन सुकूँ चाहत
इतवार भी पहले सा इतवार नहीं होता

आते हैं वो अक्सर छत पे चाँद की ख़्वाहिश में
यूँ जागना अपना भी बेकार नहीं होता

पत्थर है ख़ुदा कहते मुझसे ये जहां वाले
जब उसके करम से घर गुलज़ार नहीं होता

हो जानना मुझको तो दिल पे मेरे दो दस्तक
हर बार मेरा चेहरा अख़बार नहीं होता

  - Priya omar

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priya omar

As you were reading Shayari by Priya omar

Similar Writers

our suggestion based on Priya omar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari