mile badle mein dil ke dil hamesha ho nahin saka
zara samjho muhabbat hai ki sauda ho nahin saka
tumhaari yaad ke ahbaab mere paas rahte hain
main chaahoon to kisi bhi haal tanhaa ho nahin saka
zubaan mein talkhiyaan mere kabhi dekho na aayengi
tere lehje ke jaisa mera lahja ho nahin saka
sameto aasmaan chahe zameen bhi naap lena tum
magar sach hai kabhi inka kinaara ho nahin saka
labon par rakh hasi ummeed ka daaman bichaata hoon
magar gham zindagi ka bhi paraaya ho nahin saka
girao tum mujhe phir bhi madad ka haath doonga main
nazar mein khud ki to kirdaar adnaa ho nahin saka
faqat yun chaahne bhar se priya manzil nahin milti
kisi manzil ka yun bhi aasaan rasta ho nahin saka
मिले बदले में दिल के दिल हमेशा हो नहीं सकता
ज़रा समझो मुहब्बत है कि सौदा हो नहीं सकता
तुम्हारी याद के अहबाब मेरे पास रहते हैं
मैं चाहूँ तो किसी भी हाल तन्हा हो नहीं सकता
जुबां में तल्खियाँ मेरे कभी देखो न आयेंगी
तेरे लहजे के जैसा मेरा लहजा हो नहीं सकता
समेटो आसमां चाहे ज़मीं भी नाप लेना तुम
मगर सच है कभी इनका किनारा हो नहीं सकता
लबों पर रख हँसी उम्मीद का दामन बिछाता हूँ
मगर ग़म ज़िन्दगी का भी पराया हो नहीं सकता
गिराओ तुम मुझे फिर भी मदद का हाथ दूँगा मैं
नज़र में खुद की तो किरदार अदना हो नहीं सकता
फ़क़त यूँ चाहने भर से 'प्रिया' मंज़िल नहीं मिलती
किसी मंज़िल का यूँ भी आसाँ रस्ता हो नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Charity Shayari Shayari