kisi tarah sambhal nahin raha hoon main | किसी तरह सँभल नहीं रहा हूँ मैं

  - Khurram Afaq

kisi tarah sambhal nahin raha hoon main
ki bah raha hoon chal nahin raha hoon main

gale laga ai mausamon ke devta
badal mujhe badal nahin raha hoon main

ye sukh bhi hai ki tere taqche mein hoon
ye dukh bhi hai ki jal nahin raha hoon main

sawaal poochne lage hain raaste
safar pe kyun nikal nahin raha hoon main

tuloo ho raha hoon doosri taraf
udaas mat ho dhal nahin raha hoon main

किसी तरह सँभल नहीं रहा हूँ मैं
कि बह रहा हूँ चल नहीं रहा हूँ मैं

गले लगा ऐ मौसमों के देवता
बदल मुझे बदल नहीं रहा हूँ मैं

ये सुख भी है कि तेरे ताक़चे में हूँ
ये दुख भी है कि जल नहीं रहा हूँ मैं

सवाल पूछने लगे हैं रास्ते
सफ़र पे क्यूँ निकल नहीं रहा हूँ मैं

तुलूअ हो रहा हूँ दूसरी तरफ़
उदास मत हो ढल नहीं रहा हूँ मैं

  - Khurram Afaq

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khurram Afaq

As you were reading Shayari by Khurram Afaq

Similar Writers

our suggestion based on Khurram Afaq

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari