koshish ke baawajood bhi saakin nahin raha
kuchh din main saamne raha kuchh din nahin raha
pehle ye rabt meri zaroorat banaoge
aur phir kahoge raabta mumkin nahin raha
ham ek waardaat se thode hi door hain
vo haath lag gaya hai magar chin nahin raha
school ke dinon se mujhe jaante ho tum
main aaj tak sawaal kiye bin nahin raha
ik raat us ne chand sitaare bujha diye
us ko laga tha koi unhen gin nahin raha
कोशिश के बावजूद भी साकिन नहीं रहा
कुछ दिन मैं सामने रहा कुछ दिन नहीं रहा
पहले ये रब्त मेरी ज़रूरत बनाओगे
और फिर कहोगे राब्ता मुमकिन नहीं रहा
हम एक वारदात से थोड़े ही दूर हैं
वो हाथ लग गया है मगर छिन नहीं रहा
स्कूल के दिनों से मुझे जानते हो तुम
मैं आज तक सवाल किए बिन नहीं रहा
इक रात उस ने चंद सितारे बुझा दिए
उस को लगा था कोई उन्हें गिन नहीं रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khurram Afaq
our suggestion based on Khurram Afaq
As you were reading Eid Shayari Shayari