na-ehetiraam ka bas ehtiraam kar baithe
ham apne karb ka khud intizaam kar baithe
unhen to aana hi kab tha hamaari basti mein
hazaar tarah ke ham ehtimaam kar baithe
ye be-rukhi ka ajab silsila to tab se hai
vo guzre raah se aur ham salaam kar baithe
khamosh taba the daaman bacha ke chal diye vo
aur ham naseeb ke maare kalaam kar baithe
lagao aas na ummeed rakho tum maaham
bujhaao sham'a vo qissa tamaam kar baithe
ना-एहतिराम का बस एहतिराम कर बैठे
हम अपने कर्ब का ख़ुद इंतिज़ाम कर बैठे
उन्हें तो आना ही कब था हमारी बस्ती में
हज़ार तरह के हम एहतिमाम कर बैठे
ये बे-रुख़ी का अजब सिलसिला तो तब से है
वो गुज़रे राह से और हम सलाम कर बैठे
ख़मोश तब्अ' थे दामन बचा के चल दिए वो
और हम नसीब के मारे कलाम कर बैठे
लगाओ आस ना उम्मीद रक्खो तुम 'माहम'
बुझाओ शम्अ' वो क़िस्सा तमाम कर बैठे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Maaham Shah
our suggestion based on Maaham Shah
As you were reading Qismat Shayari Shayari