chalte rahne ke liye dil mein gumaan koi to ho
be-nateeja hi sahi par imtihaan koi to ho
aasmaanon ke sitam sahti hain is ke baawajood
sab zameenen chahti hain aasmaan koi to ho
meherbaanon hi se bach kar aaye the tum dasht mein
ab yahan bhi lag raha hai meherbaan koi to ho
qahqahon ko yaad rakhti hi nahin duniya kabhi
is liye dukh ki bhi pyaare dastaan koi to ho
kar raha hoon main darakhton se musalsal guftugoo
is ghane jungle mein daanish ham-zabaan koi to ho
चलते रहने के लिए दिल में गुमाँ कोई तो हो
बे-नतीजा ही सही पर इम्तिहाँ कोई तो हो
आसमानों के सितम सहती हैं इस के बावजूद
सब ज़मीनें चाहती हैं आसमाँ कोई तो हो
मेहरबानों ही से बच कर आए थे तुम दश्त में
अब यहाँ भी लग रहा है मेहरबाँ कोई तो हो
क़हक़हों को याद रखती ही नहीं दुनिया कभी
इस लिए दुख की भी प्यारे दास्ताँ कोई तो हो
कर रहा हूँ मैं दरख़्तों से मुसलसल गुफ़्तुगू
इस घने जंगल में 'दानिश' हम-ज़बाँ कोई तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish
our suggestion based on Madan Mohan Danish
As you were reading Dard Shayari Shayari