zidon ko apni taraasho aur un ko khwaab karo
phir us ke ba'ad hi manzil ka intikhaab karo
mohabbaton mein naye qarz chadhte rahte hain
magar ye kis ne kaha hai kabhi hisaab karo
tumhein ye duniya kabhi phool to nahin degi
mile hain kaante to kaanton ko hi gulaab karo
siyaah raato chamakti nahin hai yun taqdeer
uthao apne charaagon ko mahtaab karo
kai sadaaein thikaana talash karti hui
fazaa mein goonj rahi hain unhen kitaab karo
kisi ke rang mein dhalna hi hai agar daanish
to apne aap ko thoda bahut kharab karo
ज़िदों को अपनी तराशो और उन को ख़्वाब करो
फिर उस के बा'द ही मंज़िल का इंतिख़ाब करो
मोहब्बतों में नए क़र्ज़ चढ़ते रहते हैं
मगर ये किस ने कहा है कभी हिसाब करो
तुम्हें ये दुनिया कभी फूल तो नहीं देगी
मिले हैं काँटे तो काँटों को ही गुलाब करो
सियाह रातो चमकती नहीं है यूँ तक़दीर
उठाओ अपने चराग़ों को माहताब करो
कई सदाएँ ठिकाना तलाश करती हुई
फ़ज़ा में गूँज रही हैं उन्हें किताब करो
किसी के रंग में ढलना ही है अगर 'दानिश'
तो अपने आप को थोड़ा बहुत ख़राब करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish
our suggestion based on Madan Mohan Danish
As you were reading Manzil Shayari Shayari