waqt ki baat hai har guncha-e-sar-basta magar | वक़्त की बात है हर ग़ुंचा-ए-सर-बस्ता मगर

  - Mahboob Khizan

waqt ki baat hai har guncha-e-sar-basta magar
waqt kya cheez hai paimaana-e-be-saakhta hai

ye shab-o-roz jawaani ye mah-o-saal ravaan
rooh kyun jism ke aage sipar-andaakhta hai

shaakh dar shaakh nazar aati hai jeene ki umang
chor ki tarah sarkati hai ragon mein koi aag

sochne ke liye shaayad ye mah-o-saal nahin
ai mere deeda-e-be-khwaab mohabbat se na bhag

husn ki aag ghaneemat hai ki is se pehle
rag-e-ayyaam thi ik joo-e-fasurda sar-e-shaam

sab isee aag ka eendhan hain guzarne waale
ek hi larzish-e-sad-e-rang ka partav hai tamaam

वक़्त की बात है हर ग़ुंचा-ए-सर-बस्ता मगर
वक़्त क्या चीज़ है पैमाना-ए-बे-साख़्ता है

ये शब-ओ-रोज़ जवानी ये मह-ओ-साल रवाँ
रूह क्यूँ जिस्म के आगे सिपर-अंदाख़्ता है

शाख़ दर शाख़ नज़र आती है जीने की उमंग
चोर की तरह सरकती है रगों में कोई आग

सोचने के लिए शायद ये मह-ओ-साल नहीं
ऐ मिरे दीदा-ए-बे-ख़्वाब मोहब्बत से न भाग

हुस्न की आग ग़नीमत है कि इस से पहले
रग-ए-अय्याम थी इक जू-ए-फ़सुर्दा सर-ए-शाम

सब इसी आग का ईंधन हैं गुज़रने वाले
एक ही लर्ज़िश-ए-सद-ए-रंग का परतव है तमाम

  - Mahboob Khizan

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari